بسم الله الرحمن الرحیم
یا صاحب الزمان ادرکنی
Edaara-e-darul itrat ke asli aghraazo maqaasid :
- Mohammad wa Aale mohammad (صلوات الله علیهم) ke olum wa taalimaat ki tarwij wa tabligh ; cyberspace social media ... ke zariae
- mazhab-e-shia ka defa
- haqiqi islaam aur mazhab-e-shia ke mota'alliq dushmanon aur apnon makhsusan jawaanon ke tamaam shokuk-o-shubhaat aur aeteraazaat ka modallal aur tashaffi wa tasalli bakhsh jawaab
- mo'aashere ki zaruraton ke peshe nazar dini wa mazhabi [ qur'aan-o-hadis, shar'ei masaa'ael, kalaam wa aeteqaadaat, akhlaaq, taarikh-e-islaam aur sirate masumin (سلام الله علیهم) ] sawaalaat ke jawaab tahrir aur video ... ke zariae
- mokhtalif mauzu'aat par khaadim-e-edaara ke dars, sharh-e-dua, mahaafil-o-majaalis ... ki clip aur ketaab wa mazaamin ki tarwij-o-aeshaa'at
Note :
apni shar'ei, akhlaaqi aur insaani zimme'daariyon ko behtar tariqe se anjaam dene ke liae tamaam khaaharaan wa beradaraane geraami ke mofid wa musbat mashwere aur taamiri tanqid ka khair maqdam edaara tahe dil se kare ga
Masle masaa'ael by :
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat
Qum / iran