اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : Mohtaram Janaab Syed Faraz Abbas Sb (Ranchi)
Salam Walekum
Sawal :-
Sadqa (Sadqe Imam) kisi ko dena hai to kiya jisko diya ja raha hai usko bata dena chahiye, keyun ki bahut se log sadqa nahi lete....
Fitra mein bhi same sawal hai
Khums (Haq e Sadat) ke liye bhi same sawal jis se diya ja raha hai usko bata diya jaye ya nahi
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Ous ko ye bataanaa zaruri nahi hai ke ye sadqah ya fitrah ya sahme saadaat hai, ouse beghair bataa'ae de sakte hain.
Waazeh rahe ke aap ba'taure hadiyah bhi de sakte hain ba'sharte ke dono suraton (bataa'ae beghair dene ya ba'taure hadiyah dene) me dene waale ki niyat sadqah ya fitrah ya sahme saadaat ho.
Mazeed maalumaat ke liae niche di gaei headline par click karen.
- Bataa'ae beghair sadqe ke paiyse kisi ko dena | sadqah ke aadaab
- Keya kisi rishtedaar ko fitrah tohfe | eidi ke taur par de sakte hain ?
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
6 / shau'waal / 1446 H.Q
No comments:
Comment