اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : +91638664...
سلام علیکم
Bank me jama paise pr khums wajib h? Aur mutual fund me lage paison pr khums wajib h? Biwi ko jo kharcha dete hai usme se woh bacha leti h kya us pr bhi khumus nikalna wajib h ?
taqlid : Aayatullah sistani sahab ki
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Agar bank me jama kardah (maujud) paison par khums waajib tha aur ous me se nahi nikaala ho to ous par khums waajib hai.
Mutual fund ka hukm bhi yahi hai ke agar mutual fund par khums waajib tha aur ous me se nahi nikaala ho to ous par khums waajib hai.
Waazeh rahe ke agar bank me jama shudah raqam aur mutual fund me se 1 martabah khums nikaal diya gaya ho to sirf 1 martabah hi kaafi hai jab tak asl raqam hai ous me se dobaarah khums nikaalna zaruri nahi hai albatta ous raqam se haasil hone waali aezaafi raqam (monaafa / sud) par khums waajib hai ba'sharteke 1 saal pura hone se pahle zindagi ke zaruri aekhraajaat me monaafa (sud) ko kharch na kiya ho. Yaani ous par pura 1 saal nahi guzra ya kharch kar liya to ous par khums laazim nahi hoga.
Aek aurat ko ous ka shuhar ghar ke kharch ke liae paise deta hai ye aurat oun paison me se kuchh bacha leti hai to is surat me jawaab ye hai :
Paise wosul wa daryaaft karne ki taarikh se 1 saal guzar jaa'ae aur wo zindagi ke zaruri aekhraajaat me istemaal na ho to ghar ke kharch me se bachaa kar jama ki huei raqam par khums hai.
Niche di gaei headline par click kar ke jawaab ko padhnaa mofeed hai انشاء الله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
8 / shavvaal / 1446 H.Q
roze inhedaame jan'natul baqi
No comments:
Comment