عربی |
للقراءة باللغة العربية |
|
---|---|---|
اردو |
اردو میں پڑھنے کے لیۓ |
|
English |
To read in english |
Israel aur America ke zulm par khaamosh rahne waale qaariyon par qur'aan laanat karta hai
Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ne farmaayaa :
" رُبَّ تَالِ اَلْقُرْآنِ وَ اَلْقُرْآنُ يَلْعَنُهُ "
bahot se qur'aan majeed ki telaawat karne waalon par khud qur'aan laanat kartaa hai
is hadees ka itlaaq ous qaari wa telaawat karne waale par hotaa hai jo qur'aan hakeem ki telaawat to karte hain magar ous ki taalimaat par amal nahi karte masalan qur'aan kareem me padhte hain " aur teraa parwar degaar saaf saaf hukm de chukaa hai ke tum ous ke sewaa kisi aur ki parastish na karo aur maa baap ke saath ach'chaa soluk karo ..."
(surah israa aayat 23)
yaa " ay eimaan waalo tum yahud o nasaaraa ko apnaa sarparast wa dost na banaao ..."
(surah maa'aedah aayat 51)
yaa "... kah dijiye ke may is par tum se ajre resaalat nahi chaahtaa magar mohabbat rishtedaaron (ahlebit) ki ..."
(surah shuraa aayat 23)
qaari aur telaawat karne waalaa in aayaat par amal nahi kartaa lehaazaa yahi aayaat ayse telaawat karne waale wa qaari par laanat bhejti hain
yaa qur'aan me padhte hai :
"...أَلَا لَعْنَةُ اللَّهِ عَلَى الظَّالِمِينَ"
"...khabardaar ho zaalimon par khoda ki laanat hai"
(surah hud aayat 18)
Gaza aur yemen me masaa'aeb ke pahaad tut rahe hain, har tarah ke mohlik hathiyaar istemaal ho rahe hain, Gaza ke sunni musalmaan dawaa, lebaas aur khaane pine ke mohtaaj hain, wahaan ke bach'che aek loqmah khaane ke liye taras rahe hain
auraton aur ladkiyon ki eiz'zat baar baar luti jaa rahi hai, ye sab dekh kar aur sun kar dil khun ke aansu rotaa hai aur sina paarah paarah ho jaataa hai lekin aiysho eishrat me gharq musalmaan aur arabi shikh apne aslaaf moaawiyah waghirah ke naqshe qadam par chalte huye puraa ount aur bakraa khaa kar bhi dekaar nahin lete
aaj ye haqiqat har shakhs apni aankhon se dekh rahaa hai
jo qaari, telaawat karne waalaa aur haafiz ye sab dekh kar chup rahtaa hai, mazlumon ki hemaayat me halq se aawaaz tak nahi nikaaltaa wo yaqinan is zulm me baraabar ka sharik hai aur wo khud zaalim hai aur zaalim hone ki wajah se qur'aan hakeem ki laanat ka mustahaq hai
ay puri dunyaa ke qaariyon aur haafizon makhsusan misri aur saudi qaariyon aur haafizon agar tum apni mokhan'nas hukumaton aur faujiyon par dabaao daalte to dabaao ka kuch to asar hotaa
qaariye qur'aan aur haafize qur'aan par rahmaten naazil hoti hain lekin tum par qur'aan kareem ki laanat baras rahi hai
No comments:
Comment