اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : ...
salam alykum wrwb
ek sawal tha ye ke iftar karna family ke sat apne ghar me behtar hai ya masjid me?
mera nam our number share nahi kiye ga
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته
2 suraten hain :
- Agar aap ko daawat di gaei hai to momin ki daawat qabul karna taakidi taur par behtar amal hai lehaaza masjid me eiftaar karna behtar hai
- Agar eiftaar ka aehtemaam omumi wa ijtemaaei andaaz me hai, aam daawat hai, har aamo khaas sharik ho sakta hai
Is surat me jawaab darj zail hai :
Is baat ke peshe nazar ke momin roze daar ko eiftaar karaane ki bahot zeyaadah fazeelat wa ahamiyat aur ajro sawaab hai lehaaza sefaarish ki jaati hai ke is nek amal me shareek hon yaani omumi eiftaar me shirkat karen (eiftaar masjid me karen) taake is kaare khair ko sar anjaam dene waale ko sawaab mile aur aap khud bhi khoda ke nazdeek is pasandidah kaam ko anjaam den taake aap ko bhi sawaab diya jaa'ae
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
24/ ramzaan kareem /1446 H.Q
No comments:
Comment