Aetekaaf ke chand sawaalaat aur oun ke jawaabaat | Maahe ramzaan ke aakheri ashre ka aetekaaf - Edaara-e-darul itrat
Fitrah, Royate helaal aur Eid ke mota'alliq zaruri ahkaam aur mofeed maalumaat

Thursday, March 20, 2025

Aetekaaf ke chand sawaalaat aur oun ke jawaabaat | Maahe ramzaan ke aakheri ashre ka aetekaaf

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : ...


Salamun alaikum wrb


  1. Ramzan me konsi shab me Etekaf karna chahiye or kitni rato ka

  2. kya Jo Etekaf me betha ho Vo bat kar sakta hai ya chup rehkar sirf zikre karega

  3. Etekaf ke doran me Masjid se bahar nikal sakta hai ya nahi

  4. kya Etekaf ghar me kar sakta hai

  5. kya Etekaf ghar me kar sakta hai agar uske liye masjid jana kuch vajah se mumkin na ho to

Nam or no makhfi rakha jaye


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Sawaal No 1 ka jawaab :


aetekaaf ki kam az kam mud'dat 3 din hai, 2 darmeyaani raaton samet 3 roz hogaa , is se kam ho to sahih nahi hai albatta is se zeyaadah hone ki koei had nahi hai , 3 din se zeyaadah aetekaaf jaa'aez hai


aetekaaf ke liae behtareen waqt maahe mobaarake ramzaan hai lekin is maahe mobaarak ke aakheri ashrah me aetekaaf karne ki sab se zeyaadah fazeelat hai


Sawaal No 2 ka jawaab :


ji , haan baat chet kar saktaa hai lekin taalim o ta'allum , mahaafil o majaalis , khair o bhalaaei ki baaton , zikr o azkaar, telaawate qur'aan majeed , doa , aebaadaat aur digar aamaal me apna zeyaadah waqt guzaare


waazeh rahe ke aetekaaf ke dauraan ba'zaria'ae Mobile aur WhatsApp ... baat karne se agar aetekaaf ke aamaal ko noqsaan na pahunche to koei haraj nahi hai albatta belaa zarurat aur taweel baat cheet karne se ijtenaab karna behtar hai


Sawaal No 3 ka jawaab :


ourfi aur sharei zarurat ke beghair baahar nikalna wa jaanaa jaa'aez nahi hai


Sawaal No 4 aur 5 ka jawaab :


ghar me aetekaaf karnaa shar'an jaa'aez nahi hai


in baaton ki qadre tafsil ke liae niche di gaei headline par click karen


  • Aetekaaf ki taarikh | fazeelat aur ahkaam (video)

  • والسلام

    Syed Shamshad Ali Katokhari
    khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


    16 / ramzaanul mobaarak / 1446 H.Q

    subscribe us on youtube

    No comments:

    Comment

    .
    WhatsAppWhatsApp par sawaal karen