Haj waajib hone ke baad haj na kare aur istetaa'at baaqi na rahe to hukm keya hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, February 23, 2025

Haj waajib hone ke baad haj na kare aur istetaa'at baaqi na rahe to hukm keya hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : beraadare mohtaram


Agar kisi Insaan par haj wajib ho aur wo haj bajalane na jaye aur Kuch saalon k baad iste,taat saqit ho jaye to uska wazifaye sharee kya h ? Kya Qarz Leke ya loan Leke haj kare ?


Jawaab :


باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


Aiyse insaan par haj ba'dastur waajib hai, haj ki farziyat saaqit nahi huei lehaaza jis tarah bhi momkin ho haj par jaa'ae chaahe qarz le kar hi keyon na ho


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


24 / shaabaan / 1446 H.Q


Kuffaaro monaafeqeen ki tamaam dhamkiyon aur kheyaanaton ke baa'wojud raahelaine sharifain, say'yedaine shahidain Janaab Syed Hasan Nasrullah aur aap ke safi Janaab Syed Haashim Safiyud'deen ki azeem taarikhi tash'yi aur namaaze janaaza aaj ada ki gaei aur Hasan Nasrullah saaheb ki tadfeen ho chuki hai


Aaj ke is Jawaab ka sawaab 14 Maasumeen (عليهم السلام) ko hadiyah kiya aur is hadiyah ka sawaab donon marhumeen ko eisaal kiya

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen