اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : ...
Salamun alikum
kya insaan apni wajib namazon aur wajib aamaal ko 14 masumeen as ko ya kisi Murda insaan ko hadya kar sakta h? Kyunke ham wajib aamaal ko khushnudie elahi k liye anjaam dete h na k kisi aur k sawab k liye.
Jawaab :
باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Ji, haan waajib namaazon aur waajib aamaal ka sawaab hadiya kiya ja sakta hai
Waazeh rahe ke har amal ki niyat (khaah waajib ho ya mustahab) sirf aur sirf khoda aur ous ki rezaa wa khushnudi ke liae ho eisi liae namaaz, roza, haj aur kisi bhi dusre amal me niyat karte hain "qurbatan aelallah / قربة الى الله" (khoda ke qareeb wa nazdeek hone ke liae)
Agar oun aamaal ko khoda ke aelaawah kisi aur ke liae anjaam de to khud amal baatil ho jaata hai aur na sirf ye ke ous me koei sawaab nahi'n balke gunaah wa shirk hai
Pas aamaal wa aebaadaat me sirf aek chiz hadiya ki jaa sakti hai wo hai aamaal ka sawaab
Aamaal ko ham khoda ke liae anjaam dete hain aur ous ka sawaab 14 Maasumeen (عليهم السلام) yaa faut shudah ko hadiyah karte hain is me koei qabaahat nahi na sirf ye ke qabaahat nahi balke rewaayaat me is ki bahot taakeed ki gaei hai
Note :
Maasumeen (عليهم السلام) ko hamaare hadiyah ki koei zarurat nahi lekin hamen oun ko hadiyah karne ki zarur zarurat hai
Imaam Kaazim (عليه السلام) ne hadiyah karne waalon ki fazeelat aur ajr ke baare me farmaayaa hai :
Jo shakhs qur'aan majeed ki telaawat aur ous ko puraa padhne ka sawaab Maasumeen (سلام الله عليهم) ko hadiyah karta hai ous ka ajr wa paadaash ye hai ke wo qeyaamat ke din hamaare Ahlebait (صلوات الله و سلامه عليهم) ke saath hoga
Har nek aamaal wa kaare khair ka sawaab marne waalon ko hadiyah karne ke bhi dunya wa aakherat me bahot se asaraat wa faa'aede hain, mota'ad'did rewaayaat me is ki targheeb dilaa'ei gaei hai
Ahaadees me waarid huaa hai ke agar koei shakhs dunyaa me nek kaam ka sawaab apne marhumeen ko hadiyah kare to khoda dunyaawi zindagi me ous ki mosibaten wa balaa'aen dur kar deta hai aur khoda ka lutf, ous ki rahmat aur fazlo karam ous ke shaamile haal ho jaate hain
Imaam Reza (عليه السلام) ne farmaaya :
Koei bhi banda (momin) nahi jo kisi momin ki qabr ki zeyaarat kare aur ous ki qabr ke paas 7 martabah surah qadr padhe magar ye ke khoda ous ko aur ous qabr ke saaheb ko mo'aaf wa bakhsh deta hai
Mofid maalumaat ke liae niche di gaei headline par click karen
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
20 / shaabaan / 1446 H.Q
No comments:
Comment