اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
باسم الحى الذى لا يموت
Jahaane khetaabat ka aek aur khateeb chalaa gaya
Intehaaei afsosnaak khabar mili ke maaruf wa momtaaz khateeb aur moballigh, Aali Janaab Maulaana Syed Naeim Abbaas Sb Qiblah Naw Gaanwi (ramatullah alaih) daaghe mofaaraqat dekar is daare faani se kooch kar ga'ae
yaqinan ye khabar intehaaei ghamgin, bahot bada sadmah aur aek naa qaabile talaafi noqsaan hai
Marhum aek kaamyaab moballigh wa waa'aez hone ke sath saath aek qaaderul kalaam khateeb bhi the, khatibaanah salaahiyat, mezaaj ki be takallofi oun ki imteyaazi khosusiyaat thin, oun ki taqriron me aek barjastah khateeb ke lehje ki ghan garaj paaei jaati thi, khetaabi paighaam me oun ki tawajjoh "saame'ein kaun hain ? kis tabqe se ta'alluq rakhte hain ?" par markuz rahti thi aur awaam ki zehni istedaad ko bhi malhuz rakhte the, marhum ke nazdik khetaabat ki tejaarat izzat ki tazleel se kam tar nahi thi, aekhlaas wa lillaahiyyat aur akhlaaqe hasanah se mut'tasif the jis ne oun ki khetaabat ko awaam aur khawaas donon me maqbul banaa diya
isi wajah se saame'ein oun ki taqreer ko sun'ne ke liae hama tan ghosh ho jaate the aur ba'sad raghbat wa shauq aur dil jam'ei ke saath sunte the
Marhum surah infetaar ki aayat No 13 ke misdaaq hain
"إِنَّ الْأَبْرَارَ لَفِي نَعِيمٍ"
"yaqinan nek log badi nematon me hon ge"
Khoda behaqqe 14 Maasumeen (عليهم السلام) marhum ki maghferat kare aur jannatul firdaus me aala maqaam ataa farmaa'ae aur tamaam momeneen, ahaaliyaane naw gaanwaa saadaat ko oun ka nemal badal ataa farmaa'ae aur lawaaheqeen khosusan ahle khaana aur aulaad ko sabre jameel wa jazeel ataa farmaa'ae
Marhum ki tadfeen ho chuki hai lehaaza salawaat ke saath surah faateha aur namaaze wahshat ki darkhaast hai
Sharike gham :
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-daarul itrat
Hauza'ae eilmiyah Qum / Mosharrafah - Iran
26 / shaabaan / 1446
No comments:
Comment