اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : +91996733....
As salamo alaikum wa rahmatullahi wabarakatuhu.
Agha ek sawal hai jannat me insan ki rooh jaaegi ya jism bhi jaega
Jawaab :
باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
Mokhtasar jawaab :
Jannat aur jahannam me insaan ki rooh aur jism dono jaa'aen ge
Qadre tafsili jawaab :
Qeyaamat isi maad'di aur ounsori jism ke saath hogi, yaani qeyaamat ke roz tamaam insaanon ko hesaab ke liae isi dunyawi jism ke saath outhaaya jaa'ae ga jis ke baad jannat wa jahannam me daakhela dunyaawi jism ke saath hi hoga
Aw'wal to ye ke insaani aql wa eilm mahdud aur qaasir hai, dusre ye ke ye ghaibi mo'aamala hai, in mo'aamalaat ka ta'alluq ghaibi omur se hai, is ke baare me khoda, maasumin aur baaz moqaddas hastiyon (سلام الله علیهم) ke aelaawah koei nahi jaanta lehaaza hame dekhna hoga ke khoda aur maasumin (علیهم السلام) ne keya farmaaya hai
Is ke mota'alliq rewaayaat mota'addid hain, aekhtesaar ke peshe nazar sirf chand aayaat pesh ki jaa rahi hain :
" أَفَلَا يَعْلَمُ إِذَا بُعْثِرَ مَا فِي الْقُبُورِ "
"Keya maalum nahi jab qabron me jo hai nikaal liya jaa'ae ga"
(Aadiyaat - Aayat 9)
" وَإِذَا الْقُبُورُ بُعْثِرَتْ "
"Aur jab qabren oulat palat ki jaa'aen gi (yaani qabron se murde zinda ho kar baahar nikal paden ge)"
(Infetaar - Aayat 4)
" ... أَنَّ اللَّهَ يَبْعَثُ مَنْ فِي الْقُبُورِ "
"... Yaqinan khoda qabron me jo log hain oun ko dobaara zinda farmaa'ae ga"
(Haj - Aayat 7)
Tawajjoh famaa'aen qabron me jism ko dafn kiya jaata hai, rooh ko nahi lehaaza in aayaat se saabit hai ke jism ko nikaala jaa'ae ga aur ous ko dobaara zinda kiya jaa'ae ga
Insaan ka jism zinda hoga rooh nahi, is liae ke insaan par jab maut aati hai to jism par aati hai rooh par maut nahi aati, ruh ko fana nahi hai
Mazkurah aayaat ke aelaawah dusre tamaam nosus ko jama karne se jo baat maalum hoti hai wo ye hai ke qeyaamat ke din dunyaawi jism ko hi zinda kiya jaa'ae ga aur dunyaawi wa asli badan me ous ki rooh daali jaa'ae gi phir insaan apne dunyaawi jism aur rooh ke saath haazir hoga aur jannat ya jahannam me jaa'ae ga
Waazeh rahe ke ba'nasse qur'aan majid wa hadis, khoda ne jannat me aiysi nematen mohay'yaa ki hain jin ka ta'alluq jism se hai, masalan baaghaat, lebaas, qasr, nahren, khaana pina, apne ahlo ayaal aur rishte'daaron wa ahbaab se molaaqaat, shaadi beyaah aur jinsi amal (hambistari) ...
In baaton se bhi saabit hota hai jannat me dunyawi jism jaa'ae ga, jo log bahishti nematon ko sirf ruhaani wa maanawi samajhte hain dar haqiqat wo jismaani ma'aad ke munkir hain (baaz nemaat ka zikr Surah Rahmaan me hai)
Jahannam me bhi dunyawi jism jaa'aega, jahannam ka azaab jism par hoga
Kuchh khaas hastiyon ke aelaawah qabr me insaani gosht gal sad (گل سڑ) jaata hai aur haddiyaan bosidah wa khaak yaa raakh ho jaati hain yaa oun ke zarre muntashir ho jaate hain ... Khoda oun ajzaa'ae jismaani ko jama farmaa kar ousi jisme saabiq ko kaiyse zinda karega ? ye aek tafsili aur eilmi bahs hai, is (ma'aade jismaani) ke baare me aayaat aur rewaayaat me waazeh taur par bataaya gaya hai
Yahan ye bataana zaruri hai ke jannat aur jahannam me dunyawi jism jaa'ae ga, albatta nezaame dunya aur nezaame aakherat me kuchh farq hai, hayaate dunya me jism par dunya ka nezaam wa qaanun jaari hota hai, yahaan ke nezaam ke motaabiq hota hai lekin hayaate aakherat me jism par aakherat ka nezaam wa qaanun jaari hoga, wahaan ke nezaam ke motaabiq hoga ; misaal ke taur par aakherat me jism, nutfe aur rahime maadar se paiyda nahi hoga, wahaan auraten haamela nahi hongi, koei bimaar nahi hoga, kabhi jawaani khatm na hogi, hamesha khush'haal rahega, kabhi khasta haal, parishaan aur ranjidah na hoga, hasad wa kina na hoga aur najaasat jaiyse peshaab wa pakhaana na hoga ...
Jannat ya jahannam me budhaapa nahi hoga, maut nahi hogi, jism fana nahi hoga, naa khatm hone waali zindagi hogi, nind na hogi aur jonun na hoga ...
Baaz masaa'ael me hayaat baad az maut ko hayaate dunya se qeyaas karna sahih wa dorust nahi
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrar - Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
23 / Rajab / 1446 H.Q
No comments:
Comment