اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab shahaab sb / lucknow
Salam Alaikum Wrwb
Janab kaleji paka K khane wala message se sawal uth raha hai K Gosht (meet) bhi to paka K hi khate hai kya kachcha bhi halal hai? Agar kachchi kaleji Makrooh hai to?
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته
gosht ko pakaanaa zaruri wa waajib nahi hai yaani halaal hone ke liae pakaanaa shart nahi hai lehaaza ba'zaate khud ouse beghair pakaa'ae bhi khaa sakte hain albatta kach'chaa hatta adh-kach'chaa bhi khaanaa makruh hai
waazeh rahe ke agar kach'chaa gosht khaanaa sehat ke liae zeyaadah noqsaan deh ho to ous ka khaanaa jaa'aez nahi hai, haraam hai
hifzaane sehat aur eilme tib (health science aur medical science) ke noqta'ae nazar se ye kaam aaj bhi mamnu hai
Note :
Aalime Aale Mohammad Imaam Rezaa (عليهم السلام) ka irshaade geraami hai :
"أَكْلُ اللَّحْمِ النِّيِّ يُورِثُ الدُّودَ فِي الْبَطْنِ"
"Kach'cha ya adh-kach'cha gosht khaana pet me kidon ka sabab banta hai"
(Ar-resaalatuz zahabiy'yah Al maaruf ba Tibbul Imaam Reza علیه السلام - page 28 - naashir daarul khaiy'yaam)
Baaz rewaayat ke motaabiq kach'cha gosht darinde khaate hain, oun ki khoraak kach'cha gosht hai, kach'cha gosht khaane se insaan ke pet me kide paiyda hote hain
Kach'cha gosht insaan ke mede me jaldi qaabile hazm nahi, ous se bad'hazmi aur pet ka nezaam mota'assir hota hai aur ous ke istemaal ki wajah se insaan mokhtalif bimaariyon ka shekaar ho sakta hai lehaaza gosht sahih tarah paka huaa ho
Message se aap ki moraad shaayad darj zail video hai :
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat - Azim aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
20 / Rajab / 1446 H.Q
No comments:
Comment