اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : +91636614...
ham yah Janna chahte hain ki Christian ahle kitab hai ya nahi
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
Mokhtasar jawaab :
Ji haan, hain
Qadre tafsili jawaab :
Aasmaani ketaabon par eimaan rakhne waalon aur adyaane aelaahi ke maan'ne waale ko ahle ketaab kahte hain
Qur'aan majeed aur hadees ki nosus se ye baat saabit hai is ta'alluq se aale imraan aayat 65 aur maa'aedah aayat 68 molaaheza farmaa len
Eisaaei aasmaani ketaab "injeel" par eimaan rakhte hain aur Hazrat Eisaa ko maante hain lehaaza ahle ketaab hain
Waazeh rahe ke maujudah "injeel" agarche tahreef shudah hai aur Hazrat Eisaa par naazil shudah "injeel" nahi hai phir bhi ous par eimaan rakhne waale ahle ketaab hi kahlaa'aen ge
Musalmaan bhi aasmaani ketaabon par eimaan rakhte hain aur deene aelaahi ke maan'ne waale hain lekin oun ko istelaahe fiqh me ahle ketaab nahi kaha jaata
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e- darul itrat- Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
25 / jomaadiyus saani / 1446 H.Q
No comments:
Comment