اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : Beraadare mohtaram (Gujarat)
Salam alaikum
Ek sawaal tha ke jo shaadi me sehra padhte hain to sher me ladies ka naam liya jaata hai to kya ye sahi hai ?
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Naam lene me shar'an koei qabaahat nahi hai ba'sharte ke mohazzab andaaz me aur adab ke daa'aera'ae kaar me rahte huae le aur nazm wa shaa'aeraanah tamsilaat wa tashbihaat waghairah me fohash aur ghalat salat baaten na hon
waazeh rahe ke khawaateen ka naam lene se agar oun ki hatake izzat hoti ya sharmo hayaa aur iffat ke khelaaf hota to qur'aan majeed, rewaayaat aur taarikh me baaz moqaddas auraton ke naam waazeh taur par zikr na hote ya segha'ae nekaah me ladki ka naam nahi liya jaata
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
2 / rabious saani / 1446 H.Q
No comments:
Comment