اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab Tanvir Ali sb / Delhi
Salamun Alaikum Janab,
- Hum jaisey Hindustan mein rehney waley Shia ye janna chahtey hain ki apni salary / kamai se Bank (Govt / Private / Finacial Institution / Insurance Cos.) me Fixed Deposit waghairah karna aur interest (kyon ki apne Mulk mein laazim milta hai) lena jayaz hai ki nahi ?
- Sath hi Mutual Fund waghairah me Invest karney ka kya hukum hai ?
Iss pe shariyat aur marja-e-taqleed (Ayatullah Khamenei / Ayatullah Seestani / Ayatullah Makarim Shirazi /aur dosrey marja-e-karaam ka kya hukum hai ?
Aap ke jawab ka intezar rahega.
Jazakallah Khairan.
Iltemaas-e-Dua.
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Sawaal No 1 ka jawaab :
kaafir se interest (sud) lenaa jaa'aez hai
Sawaal No 2 ka jawaab :
zarur jaan len ke invest haraam kaamon me nahin hai to jaa'aez hai
ba'motaabiq fatwa Aayatullah Sistaani
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat - Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
23 / rabious saani / 1446 H.Q
No comments:
Comment