اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az +91727500...
Assalamo alaikum
Agha mera sawaal tha ki kiya fitra maa ko de sakate hain ya unpe kharch kar sakte hain
taqleed : Aayatullah Sistaani
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Agar maa baap faqeer hon to oun ka naano nafqah (zaruriyaate zindagi ke aekhraajaat) fatwa ke motaabiq bete par aur aehteyaate waajib ke motaabiq beti par waajib hai lehaaza betaa aur beti oun ko apna fitrah nahi de sakte ya oun par kharch nahi kar sakte
Note :
Shar'an faqeer kis ko kahte hain is baare me niche di gaei headline par click karen
keya zarurat mand par fitrah waajib hai ? | faqir aur miskin se moraad
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
21 / rabioul awwal / 1446 H.Q
No comments:
Comment