Janaab Hasan Nasrullah ki shahaadat par taaziyat naamah - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, September 29, 2024

Janaab Hasan Nasrullah ki shahaadat par taaziyat naamah

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


باسم الحی الذی لایموت


"لاَ صَوَّتَ النَّاعِىَ بِفَقدِكَ اِنَّمَا
یَوم عَلَى آلِ الرَّسول عَظِيم"


Maut ki khabar laane waala tumhaare fuqdaan ki khabar na laata


image Hasan Nasrullah

Syed Hasan Nasrullah

Shaheed marde mojahid

Aaj Aale Rasul (صلوات الله عليهم) par azim mosibat ka din hai


Intehaaei dil'doz aur afsos'naak khabar mili ke 3 dahaaei'yon se zeyaadah Hizbullaah Lebanon ke sarbaraah aur Jeneral Secretary, Marde Mojaahid, Sardaar wa Hakime Moqaawamat aur abush shaheed Hujjatul Islaam wal Moslemin Syed Hasan Nasrullaah (رضوان الله تعالی علیه) ko buzdelaana aur wahshiyaana tariqe se shahid kar diya gaya


Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ne aakheri lamhaat me farmaaya tha :


"Yaqinan mai tumhaare darmeyaan qur'aan wa Eitrat chhode jaa raha hun, Agar tum ouse mazbuti se thaame rakho ge to kabhi gumraah nahi hoge"


Hasan Nasrullaah ne bhi apne jad ki sirat par amal karte huae apni zindagi ki aakheri taqrir me farmaaya :


"Mumkin hai mai aap ke darmeyaan zeyaadah muddat tak na rahun, mumkin hai mujh samet safe aw'wal ki qeyaadat ke tamaam afraad qatl kar diae jaa'aen, tariqa'ae kaar pahle se waz hai taa ke ous ghair maamuli surate haal me aamaada wa taiy'yaar rahen"


Meri it'tela ke motaabiq Maasumeen (عليهم السلام) ke adad ke baraabar Hizbullah ke har commander ke 14 jaa'nashin hain kisi ke shaheed yaa faut ho jaane ki surat me ous ki jagah dusraa le leta hai


Lehaaza momenin maayus na hon, Mohammadi wa Husaini islaam, insaaniyat aur mazlum sunniyon ka defa karne waala azim mojaahid ab hamaare darmeyaan nahi raha lekin sainkadon Nasrullaah zinda hain
Nasrullaah ous waqt tak zinda hain jab tak Husaini mission zinda hai


Dushman kisi khush'fahmi me na rahe, ouse naakon chane chabwaane ke liae Nasrullaah ke tarbiyat yaafta sher jawaan hi kaafi hain. Dushman aiyse mojaahedin ko maut se daraata hai lekin dushman is se be'khabar hai ke ye Hazrat Ali aur Hazrat Qaasim (علیهم السلام) ke maanne waale hain jinhon ne kaha tha "Khoda ki qasam Abu Taalib ka beta (Ali علیه السلام) maut se ous se zeyaadah maanus hai jetna ke bach'cha apni maa ki chhaati se"
"Aur maut mere nazdik shahad se zeyaadah shirin hai"


Amirul Momenin Hazrat Ali (علیه السلام) ke shia aur Husaini jab raahe khoda me jehaad karte hain to oun ka maqsad "اِحْدَی الْحُسْنَیَیْنِ / Aehdal Husna'yain" 2 nekiyon me se aek hota hai ; Kaamyaabi ya Shahaadat
Ye dono chizen Hasan Nasrullaah ko haasil ho gaein


Taaqatwar kuffaaro monaafeqin aur fir'aoune asr ki naak ragad di, ye azim kaamyaabi hai aur Husaini shahid ho ga'ae


شہادت ہے مطلوب و مقصود مومن
نہ  مالِ  غنیمت  نہ  کِشور   کشائی


Shahaadat hai matlub wa maqsude momin
Na maale  ghanimat  na  kishwar  kushaaei


Aap is rewaayat ke misdaaq hain :


عَاشَ سَعِيداً وَ مَاتَ شَهِيداً


Bhalaaei wa sa'aadat ke saath zindagi guzaari aur khair wa bhalaaei hi ke saath wafaat paaei


Islaam aur mozaahemati tanzimon ke dushman aur monaafeqin jaan len ke mehware mozaahemat wa moqaawemat ke shohada alal'khosus Syed Hasan Nasrullah ka khoon mozaahemati tanzimon wa gerohon ki ragon me na'ei jaan daale ga


Israel ne kuffaar aur monaafeqin ki madad se Hasan Nasrullaah ko shahid kar ke apni qabr khud khodi hai


Mai tamaam momenin, mozaahemati tanzimon, araakine Hizbullaah aur maraaje wa olama'ae keraam bil'khosus Hasan Nasrullah Saaheb ke pedare buzurgwaar, Ahliya'ae mohtarama, Aulaad aur tamaam A'eizza wa aqaarib aur oun ke saath shahid hone waalon ke Ahle khaana ki khidmat me taaziyat wa tasliyat pesh karta hun aur khoda se doa hai ke behaqqe 14 Maasumeen (سلام الله علیهم) sab ko sabre jamil wa jazil ata farmaa'ae


" وَهُوَ الْقَاهِرُ فَوْقَ عِبَادِهٖ وَهُوَ الْحَكِیْمُ الْخَبِیْرُ"


"Aur wahi Allaah apne bandon ke oupar ghaalib hai, bartar hai aur wahi badi hikmat waala aur puri khabar rakhne waala hai"


اَللّهُمَّ ارْزُقْنی تَوْفِیقَ الشَّهادَةِ فِی سَبِیلِکَ تَحْتَ رایَةِ وَلِیِّکَ الْمَهْدِی (عجل الله تعالی فرجه الشریف)


Ay allah, mujhe apni raah me aur apne wali mahdi (عجل الله تعالی فرجه الشریف) ke parcham tale shahaadat ki maut naseeb farma


Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat / Qumul Moqaddasah - Iran


24 / Rabi oul aw'wal / 1446 H.Q


Urdu rasmul khat se Roman urdu me tabdil by Zahra Razavi Katokhari

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen