Moqaddas hastiyon ki qabron aur rauzah ke saamne sar jhukaana aur sajdah karna kaiysa hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, August 18, 2024

Moqaddas hastiyon ki qabron aur rauzah ke saamne sar jhukaana aur sajdah karna kaiysa hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : Mohtaram Janaab Kumail Abbas Sb. (Muzaffarnagar - U.P)


Asslamun Alekum


Sawal Hai
Taboot pr dua mangna zuljanah nikal k usko chumna uspr dua mangna, Rauzo pr ja kr sir jhukana, Alam par duae mangna Kesa hai ?


Jabki khuda quran me irshad farmata hai ke mere siwa kisi se na mango kuch bhi.


Marja - Ayatulla Sistani sahab


Jawaab :


باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Rauza par jaa kar sar jhukaana kaiysa hai ?


Moqaddas hastiyon (عليهم السلام) ki taazeemo takreem ke liae oun ki qabron aur haram ke saamne sar jhukaana wa kham karna agar roku ki tarah na ho to shar'an koei haraj nahi hai


Sar jhukaane se aap ki moraad agar sajdah karne ke baare me maalum karna hai to phir is ka jawaab ye hai :


Mokhtasar Jawaab :


Agar Maasumeen aur dusri moqaddas (عليهم السلام) ki qabron aur haram ke saamne khoda ta'aala ka shukr adaa karne ke liae ho to koei haraj nahi hai


Qadre Tafsili Jawaab :


Sajde ki kaei aqsaam hain lekin sawaal ke peshe nazar tin qismen hain :


  1. Sajda'ae Aebaadat

  2. Khoda ke aelaawah kisi ke saamne aebaadat wa parastish ki niyat se sajdah karna shirk hai


    Mota'addid aayaat aur rewaayaat ke motaabiq ye sajdah khoda se makhsus hai, ye sajdah sirf khoda ke liae hi ho sakta hai lehaaza agar is niyat se kisi moqaddas hasti ki qabron aur haram ke saamne sajdah kare to ye shirk hai


  3. Sajda'ae Taazeemi

  4. Khoda ki zaat ke aelaawah kisi aur ke saamne ba'gharaze taazeemo takreem sar ba'sojud hona shirk nahi hai lekin haraam hai


    Is benaa par agar kisi ne moqaddas hasti ki qabron aur haram ke saamne ba'taure taazeem sajdah kiya to wo mushrik na hoga, haan gunaah gaar hai aur haraam fel kiya hai keyon ke pahle aur pichhli kuchh oummaton me sajda'ae taazeemi jaa'aez tha jaiyse ke farishton ne Hazrat Aadam ko taazeeman sajdah kiya ousi tarah Hazrat Yusuf ke waaledain aur bhaaeiyon ne ounhen sajdah kiya lekin shariate mohammadi me ye sajdah mansukh ho chuka hai, is se mana kiya gaya hai


    waazeh rahe ke baaz sunni aur shia kisi moqaddas hasti ki qabron aur haram ke saamne ba'taure aekraam sajdah karte hain to paleed wa khabees wahaabi aur takfiri oun ko mushrik kahte hain, ye ghalat hai is liae ke ghair khoda ke saamne adaban wa aehteraaman sajdah karna shirk nahi hai


    agar taazeemi sajdah shirk hota to Hazrat Yaaqub, Hazrat Yusuf ke bhaaei, aap ki maa aur malaa'aekah (ma'aazallah) sab mushrik hote aur shirk me Hazrat Yusuf bhi sharik hote is liae ke ous se mana nahi kiya aur sab se bada mowah'hid iblees mal'aun hota keyon ke sirf ous ne Hazrat Aadam ko sajdah karne se inkaar kiya tha


  5. Sajda'ae Shukr

  6. Moqaddas hastiyon ki qabron aur haram ke saamne sajda'ae shukr ki niyat se sajdah kar sakte hain is me koei haraj nahi hai
    belaa shako shubhah zeyaarat ki taufeeq milna khoda ki badi nemat hai lehaaza is taufeeq ke mil jaane par moqaddas hastiyon ki qabron aur haram ke saamne sajda'ae shukr karna jaa'aez hai


    Surah baqarah aayat 34 me hai "jab ham ne farishton se kaha ke aadam ko sajdah karo to iblees ke sewaa sab ne sajdah kiya" aur surah yusuf aayat 100 me hai "sab (Hazrat Yaaqub, aap ke bete aur Hazrat Yusuf ki maa) oun (Hazrat Yusuf) ke saamne sajde me gir ga'ae "


    Yahaan kisi ke zehn me ye baat aa sakti hai ke jab malaa'aekah ne Hazrat Aadam ko sajdah kiya aur Hazrat Yusuf ke pedar, maa aur bhaaeiyon ne Hazrat Yusuf ko sajdah kiya to ham bhi moqaddas hastiyon ki qabron aur rauza ke saamne sajdah kar sakte hain, is me keya haraj hai agar khoda ke sewaa kisi ko sajdah karna haraam hai to phir farishton ne Hazrat Aadam ko aur Hazrat Yaaqub waghairah ne Hazrat Yusuf ko sajdah keyon kiya ?


    Is ka jawaab ye hai :


    1. Hazrat Aadam aur Hazrat Yusuf ko sajdah karna khoda ke izn se tha in ke aelaawah kisi ghairullah ke saamne sajdah karne ke silsile me aejaazat waarid nahi hai lehaaza ous par qeyaas nahi kiya jaa sakta

    2. Is sajde ko ous sajde par qeyaas karna qeyaas ma'al faariq hoga jo ke sahih nahi hai keyon ke is sajde ki aejaazat nahi hai lekin ous sajde ki aejaazat thi balke hukm tha


      Zail ki misaal se is ki tasdeeq wa taaeid hogi


      Farz kijiae agar koei kisi ko apne ghar ke kisi makhsus kamre me daakhil hone ki aejaazat de to keya jis ko daakhil hone ki aejaazat di hai wo makhsus wa pahle kamre me daakhil hone ki aejaazat par qeyaas karte huae dusre kamre me daakhil ho sakta hai ?


      waazeh aur raushan hai makhsus kamre me daakhil hone ki aejazat di gaei hai lehaaza ous aejaazat par qeyaas karte huae dusre kamre me daakhil hona jaa'aez nahi hai
      isi tarah Hazrat Aadam aur Hazrat Yusuf ko sajdah karna bhi hai,
      farishton ne Hazrat Aadam ko sajdah kiya ya Hazrat Yusuf ke pedar, maa aur bhaaeiyon ne Hazrat Yusuf ko sajdah kiya tha to wo khoda ke izn se tha ous par qeyaas karte huae ham ghairullah ke saamne sajdah nahi kar sakte


    3. Sahih hai ke ba'zaahir Hazrat Aadam ko sajdah kiya gaya tha lekin farishton ne apni marzi se sajdah nahi kiya tha balke wo khoda ke hukm se kiya gaya tha isi wajah se haqiqat me wo sajdah khoda ke liae tha ye ain (عین) obudiyat, bandagi aur tauhid hai

    4. Aek misaal se meri baat aap par zeyaadah waazeh hogi
      agar baadshaah kisi fard ko kisi dusre ka aekraam wa taazeem karne ka hukm de to dar haqiqat ous fard ka aekraam wa taazeem baadshaah ka aekraam wa taazeem hai is liae ke ous ke amr ki aetaa'at ki hai isi tarah farishton ka Hazrat Aadam ko sajdah karna hai, wo sajdah Hazrat Aadam ko nahi tha balke Allaah ka tha


      Isi bena par jis ko sajdah karne ka hukm khoda ne nahi diya hai ous ko sajdah karna jaa'aez nahi hai


      Waazeh rahe ke buton ko sajdah karna jaa'aez nahi hai keyon ke khoda ne is ki aejaazat nahi di hai agar khoda aejaazat deta to buton ko sajdah karne me koei haraj na hota is liae ke ye khoda ki aetaa'at hoti aur hukmullah ka imtesaal


      Mokhtasar ye ke Hazrat Aadam aur Hazrat Yusuf ko sajdah karna amre aelaahi ki taameel thi aur inkaar amre aelaahi se ru gardaani thi


    5. Baaz mofassereen ke ba'qaul Hazrat Aadam aur Hazrat Yusuf ko sajdah, kaaba ke taur par tha aap hazaraat ko oun logon ke liae qibla banaayaa tha jis tarah namaaz waghairah ke liae kaaba hamaara qibla hai bilkul ousi tarah oun logon ke liae sajde ka qibla Hazrat Aadam aur Hazrat Yusuf the
      sajdah na Hazrat Aadam ke liae tha aur na hi Hazrat Yusuf ke liae, khoda ke liae sajdah karne aur kaaba ki taraf sajdah karne me jo farq hai wo waazeh wa raushan hai, ham kaaba ki taraf rukh kar ke sajdah karte hain kaaba ko nahi karte hain is liae ke belaa shako shubha sajdah sirf khoda ke liae hai lehaaza farishton ka Hazrat Aadam ko sajdah karne ya Hazrat Yusuf ko oun ke pedar, maa aur bhaaeiyon ka sajdah karne ki misaal bilkul ous tarah hai jaiyse ham qibla ru ho ke sajdah karte hain

    6. Albatta aksar mofssereen ne is nazariae ko rad kiya hai is nazariae ke mokhaalefeen ka kahna hai ke Hazrat Aadam aur Hazrat Yusuf ko sajdah karna qibla ke taur par nahi tha balke ba'taure taazeem wa takreem tha apni baat saabit karne ke liae aayaat aur rewaayaat ko apni daleel banaaei hai, aekhtesaar ke peshe nazar dalaa'ael ko nazar andaaz karte hain


      Yahaan par wo 2 hadeesen bhi bayaan kar dun jin ka zikr yahaan monaasib hai :


      1. Abul Hasan Imaam Haadi (daswen imaam) عليه السلام ne farmaayaa :

      2. " أَمَّا سُجُودُ يَعْقُوبَ وَ وُلْدِهِ لِيُوسُفَ فَإِنَّهُ لَمْ يَكُنْ لِيُوسُفَ وَ إِنَّمَا كَانَ ذَلِكَ مِنْ يَعْقُوبَ وَ وُلْدِهِ طَاعَةً لِلَّهِ- وَ تَحِيَّةً لِيُوسُفَ كَمَا كَانَ السُّجُودُ مِنَ الْمَلَائِكَةِ لِآدَمَ وَ لَمْ يَكُنْ لِآدَمَ إِنَّمَا كَانَ ذَلِكَ مِنْهُمْ طَاعَةً لِلَّهِ وَ تَحِيَّةً لِآدَمَ .. "


        Tarjomah wa mafhum :


        " Hazrat Yaaqub aur aap ke farzandon ka Hazrat Yusuf ke liae sajdah karna jaa'aez tha keyon ke ba'tahqeeq, sajdah Hazrat Yusuf ke liae nahi tha balke Hazrat Yaaqub aur aap ke farzandon ke sajde khoda ki aetaa'at ke liae aur Hazrat Yusuf ke aehteraam wa tahiyat ke taur par the jaiyse Hazrat Aadam ko farishton ka sajdah Hazrat Aadam ke liae nahi tha balke tahqiqan wo oun ki taraf se khoda ki aetaa'at aur Hazrat Aadam ke aekraam wa tahiyat ke liae tha ..."


        (tafsire qomi jild 1 - p 356 - taaleef ali bin ibraaheem qomi - naashir daarul ketaab qum)


      3. Imaam Reza ne apne aabaao ajdaad se naql kiya hai ke Rasule Khoda (صلوات الله عليهم) ne farmaayaa :

      4. "... إِنَّ اللَّهَ تَبَارَكَ وَ تَعَالَى خَلَقَ آدَمَ فَأَوْدَعَنَا صُلْبَهُ وَ أَمَرَ الْمَلَائِكَةَ بِالسُّجُودِ لَهُ تَعْظِيماً لَنَا وَ إِكْرَاماً وَ كَانَ سُجُودُهُمْ لِلَّهِ عَزَّ وَ جَلَّ عُبُودِيَّةً وَ لِآدَمَ إِكْرَاماً وَ طَاعَةً لِكَوْنِنَا فِي صُلْبِه ..."


        Tarjomah wa mafhum :


        " ... Beshak Allah tabaaraka wa ta'aala ne Hazrat Aadam ko paiyda kiya aur oun ke sulb (nasl) me hamen (Ahlebait عليهم السلام) ko ba'taure amaanat rakha aur hamaari taazeem wa takreem ke liae farishton ko hukm diya ke Hazrat Aadam ko sajdah karen, aur oun ke sajde khoda az'za wa jal ki aebaadat wa parastish aur Hazrat Aadam ke aekraam ke taur par the aur chunke ham oun ke sulb me the hamaari aetaa'at thi ..."


        (aelalush sharaa'ae jild - 1 p 6 - taaleef shaikh saduq - naashir al - maktabatul haiydariyah najaf)


        Is hadees se maalum huaa ke Hazrat Aadam ko sajdah karne ki asl eillat wa sabab aap ke sulb me Ahlebait (عليهم السلام) ke anwaar ka hona tha lehaaza Hazrat Aadam ko sajdah karna dar asl Ahlebait (عليهم السلام) ki taazeem wa takreem thi


Khulaasah ye ke :


Hazrat Aadam aur Hazrat Yusuf ko sajdah karna ba'taure aebaadat wa parastish nahi tha is liae ke kisi ghaiyrullah ke saamne aebaadat ki niyat se sajdah karna shirk hai, wo sajde mahaz taazeem aur eizzat afzaaei ke liae the aur shariate mohammadiyah me sajda'ae taazeemi mansukh ho chuka hai lehaazaa moqaddas hastiyon ki qabron, haram ke saamne aur aap hazaraat ki chaukhat par taazeemi sajdah karna haraam hai sirf sajda'ae shukr kar sakte hain


Niche di gaei headline par click kar ke video dekhna mofeed hai اتشاءالله




Note :


  1. Aayatullah Sistaani ki taraf se sawaal ka mokhtasar jawaab milta hai lehaazaa meri taraf se ye jawaab hai

  2. Aap ko baaqi sawaal ka jawaab mil chuka hai

  3. Taabut | Alam | jhula aur zuljanah se haajat maangna kaisa hai ? | khoda ke sewaa kisi dusre se madad maangna


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azeem Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


9 / safar / 1446 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen