اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
باسمه تعالى
Khoda laanat kare bair ka darakht kaatne waale par
Say'yedush Shohada Imaam Husain (عليه السلام) ke harame mobaarak ke paas aek sadak ba'naam "shaareous sidrah" (bair road / sidrah street) hai ye "baabus sidrah" ke saamne hai
Baaz mowarrekheen ne likha hai ke Imaam Husain (عليه السلام) ke sheer'khaar bach'che Janaab Ali Asghar (سلام الله عليه) ki shahaadat yahin huei
Shaayad baaz zaa'aerine mohtaram ke zehn me ye sawaal janam le ke is ko "shaareous sidrah" (bair road) keyon kahte hain ? wajhe tasmiyah keya hai ?
Ye naam rakhne ka sabab ye hai ke Imaam Husain (عليه السلام) ki qabre mobaarak ke baghal me aek bair ka darakht ougaa huaa tha, pahle Imaam Aali maqaam ki qabr par zarih, haram, baargaah aur gumbad kuchh bhi nahi tha faqat sahraa'ae karbala ke bich, neshaane qabr tha jo mosaafir wa zaa'aer sharafe zeyaarat se sharaf yaab hona chaahte the ousi bair ke darakht ke zariae qabre Imaam ka pata wa soraagh lagaate the aur be'qaraar ho kar jaanibe qabr daudte the
Bair ka ye ped qabre Imaam ki alaamat wa neshaani tha is ke tawas'sut se zaa'aereen qabre Imaam tak pahunchte the lehaaza bair road kahte hain
Ahle Baite Rasul se bugzo aenaad rakhne waale dushman ous alaamat wa neshaani ko isi wajah se mitaana chaahte the
"Sharhe shaafeyah" me ketaab "tasleyatul mojaalis" se naql hai ke "Yahya Bin Moghirah Raazi" kahte hain mai aek din "Jareer Bin Abdul Hameed" ke paas baitha tha, aek shakhs Iraq se aaya to Jareer ne puchha Iraq ki keya khabar hai ?
Aane waale ne kaha Haarun Rasheed (Abbaasi khalifa) ne karbala me waaqe bahot qadeemi wa kohan'saal bair ke darakht ko kaatne wa oukhaadne ka hukm diya hai Jareer ne haathon ko baland kiya aur "Allaaho Akbar" kahne ke baad kaha, Payghambare Akram (صلى الله عليه وآله) ki ye hadees hai jis ko aap ne 3 martaba dohraaya tha
" لَعَنَ اللهُ قَاطِعَ السِّدرَة "
"Khoda Laanat kare bair ka darakht kaatne waale par"
Shia ketaab :
manaaqebe aale abi taalib - jild 4 - p 64 - matbuah daarul azwah
Sunni ketaab :
kanzul oummaal - jild 3 - p 894 - matbuah moas-sasah ar-resaalah
Jareer kahte hain aaj ham ko is Hadeese Nabawi ka matlab samajh me aayaa ke Rasule Khoda ne is me kis jurm aur mujrim ki taraf aeshaarah kiya hai is ke pahle is hadees ka maqsad nahi samjhe the
Haarun ka naa'kaam aeraadah tha ke qabr ki neshaani mit jaa'ae aur qabr ki jagah tabdeel ho jaa'ae taake logon ko qabr ka pata na chale, wahaan na jaa saken aur darakht ke saayah me Imaam Husain (عليه السلام) ki qabre mobaarak ke paas khade na hon (naqle mafhum)
tasleyatul mojaalis wa zinatul majaalis - jild 2 - p 474 - taaleef say'yid mohammad karaki haa'aeri
Qabre Imaam ko mitaane waale Bani Omay'yah, Bani Abbaas aur Saddaam (لعنة الله عليهم) sabhi mit ga'ae, naabud ho ga'ae lekin qabre Imaam, isme Imaam, nahje Imaam aur maqsade Imaam baaqi wa hamesha ke liae zindah hai
Aaj bhi Harame Imaam ke tasaw'wur wa khauf se takht nashin zaalim kaanp jaate hain oun ke takhto taaj me larzah paiyda ho jaata hai
isi liae Bani Omay'yah wa Bani Abbaas ki fikri aur naajaa'aez aulaad harame Imaam Husain (عليه السلام) ke dushman hain
Arbaein ke mauqe par azimush shaan majma wa mojezah dekh kar aekhtelaaje qalb ka daurah padne lagta hai
Ye log apni phunkon se nure khoda ko bujhaana chaahte hain magar Allah apne nur ko mokammal karne ke aelaawah koei baat nahi maanta agarche kaafiron ko naagawaar guzre (taubah aayat 32)
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad - Patna
Moqeem Qomul Mosharrafah Iran
20 / safar / 1439 H.Q
roze Arbaeine Husaini (صلوات الله عليه)
Urdu se Roman Urdu me tabdeel karne ki taarikh
17 / safar / 1446 H.Q
No comments:
Comment