اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az :+91941538....
Swkm huzoor
,hamare bete jo 08 saal ka hai aaj uske sir par cheel akar baith kar udd gai jab wo school ja raha thha ,kya karna chahiye
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Kuchh nahi karna chaahiae, keyon ke is ki sharei koei haisiyat nahi hai, agar aap ke dil wa zehn me is hawaale se koei bure khayaalaat ya tawah'humaat aa'ae hon to mosibat aur bala talne ke liae sadqah nikaal den
Waazeh ho ke deeni masaadir wa maraaje me jaanwaron ka zikr nemat aur barkat ke taur par kiya gaya hai, jaanwaron ke manhus wa shum hone ke baare me hamen kahin nahi mila lehaaza kisi jaanwar wa parinde ko ba'zaate khud manhus samajhna dorust nahi hai
Jo log ye kahte hain ke masalan cheel (Eagle) ya oullu (Owl) waghairah agar ghar ya kisi aur jagah par aa kar baith jaa'ae to ye mosibaton aur ghar ki wiraani ka pesh khaiyma hai ye tawahhum parasti hai, is ki koei haqiqat nahi
Aekhtetaam par is aayat ka zikr monaasib hai
وَمَآ اَصَابَكُمْ مِّنْ مُّصِيْبَةٍ فَبِمَا كَسَبَتْ اَيْدِيْكُمْ ...
Aur tum par jo mosibat aati hai wo tumhaare hi haathon ke kiae huae kaamon se aati hai ...
(shura aayat 30)
Niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhnaa mofeed hai انشاءالله
Parinde paalne ka hukm | Kaun se parinde paalna behtar hai ?
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaat / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
15 / safar / 1446 H.Q
No comments:
Comment