اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : +919998511...
Salamun alaikum wrb
Moharram ki 10 wi shab ko Majlis me Janabe Ali Asghar a.s ke Masaa'eb ke baad jab Janabe Ali Asghar a.s ka tabut bar aamad hota hai. Har saal sirf tabut uthaya jata tha lekin pichhle 3 saal se ek bach'che ko Janabe Ali Asghar bana kar use tabut ke pichhe pichhe le jaya jata hai wo bhi us bach'che ko Rulate huwe aur aakhir me uske muh par mike rakha jata hai take uske rone ki aawaz sabko sunayi de aur sab zayada roye
Kya ye bach'che ka nikalna aur uski rone ki aawaz par rona sahi hai ya nahi. Kya ye ek nayi bid'at nahi hai...
Tafsilan jawab dijiyega
Shukriya 🙏
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
- Agar Hazrat Ali Asghar (عليه السلام) ki tauheen wa tanqees na ho to bach'che ko Hazrat Ali Asghar (عليه السلام) jaiysi moqaddas hasti ke taur par (aap ke rup me) pesh karnaa ya nikaalna jaa'aez hai
- Bach'che ke rone ki aawaaz par rone me koei haraj nahi hai albatta bach'che ko rolaane ke liae ous ko takleef wa aziyat dena khaah wo jismaani ho ya ruhaani ya zehni ... dorust nahi hai
Is amal ki nisbat Khoda ya Aeimmah Maasumeen (سلام الله عليهم) ki taraf na de to bid'at nahi hai.
Bid'at ke mota'alliq maalumaat ke liae niche di gaei surkhi par click kar ke video molaaheza farma len.
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
1 / safar / 1446 H۔Q
No comments:
Comment