اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : +91754208...
SalamunAlaikum
Kaisey mezaj hain
Ek sawal aaya tha zara wazahat farma den zahmat hogi
Bacha agr namaz ke bich zor se roye to namaz tod ke usko godi me uthaya to namaz ab dubara continue karni hogi na, ke wahin se shuru kare
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله
Darj zail sharaa'aet ke saath namaazi bach'che ko god me le to koei haraj nahi hai yaani namaaz sahih hai baatil nahi hai
- Namaaz ki shakl me koei khalal na aa'ae
- Namaazi qibla se munharif na ho
- Harkat karte waqt namaaz ki qeraa'at (Surah, Tasbihaate Arba'ah) aur zikr na padhe (yaani bach'che ko god me lete waqt qeraa'at aur zikr ko mauquf kar ke bach'che ko god me outhaa'ae phir wahin se qeraa'at ya zikr shuru kare jahaan se chhoda tha)
- Namaaz me mowaalaat ki re'aayat kare yaani namaaz ke ajzaa aur kaamon jaiyse roku, sajde aur tashah'hud waghairah ko pai dar pai aur yake baad degare belaa faaselaa anjaam de
- Namaaz ki durustagi wa sehat ki degar sharaa'aet ki re'aayat kare
Waazeh rahe ke faaselah na hone se moraad ye hai ke etna faaselah na ho ke dekhne waale samjhen ye shakhs namaaz nahi padh raha hai (lehaaza jaldi se bach'che ko outhaane me jetna faaselaa wa waqfa hota hai outni meqdaar me faaselah wa waqfa ki surat me koei haraj nahi hai, mokhtasar sa faaselah mubtile namaaz nahi hai)
Is baat ki bhi wazaahat kar dun ke roku aur sajde ke waqt bach'che ko outaar de phir dobaara god me le le eisi tarah karte huae apni namaaz ko mokammal kare
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
2 / Safar / 1446 H.Q
No comments:
Comment