اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : Mohtaram Janaab Kumail Abbas Sb. (Muzaffarnagar - U.P)
Asslamun Alekum
Sawal hai
Taboot par dua mangna zuljanah nikal ke usko chumna us par dua mangna, Rauzo par ja kar sir jhukana Alam par duae mangna Kesa hai ?
Jabki khuda quran me irshad farmata hai ke mere siwa kisi se na mango kuchh bhi.
Marja - Ayatulla Sistani sahab
Jawaab :
باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Belaa shako shubha taabut, alam aur zuljanaah, islaam aur Imaam Husain (عليه السلام) ki azimush'shaan neshaaniyaan wa alaamaten hain ye saari neshaaniyaan mohtaram hain, oun ki eizzat wa taazeem karna zaruri hai aur oun ko tayam'moman wa tabar'rokan chumna, bosa dena jaa'aez wa pasandidah amal hai magar Imaam Husain aur digar Maasumeen (صلوات الله و سلامه عليهم) ke wasile wa zariae se apni tamaam zaruriyaat wa haajaat ko khoda se maangnaa chaahiae ye mota'addid nosus se saabit hai
Waazeh rahe ke taabut, alam, jhulaa aur zuljanaah ye wo motabarrik neshaaniyaan hain jo Imaam Husain (عليه السلام) ki taraf tawajjoh dilaati hain lehaaza oun ke paas Imaam Husain (عليه السلام) aur shohadaa'ae karbalaa (سلام الله عليهم) ke wasile se khoda se doa kare to ous se doa me taaseer paydaa ho jaati hai aur qabuliyat ke zeyaadah qareeb ho jaati hai
Khoda ke sewaa kisi dusre se madad maangne ke mota'alliq jawaab padhne ke liae niche di gaei surkhi par click karen
- yaa Ali madad kahna aur wasila banaana shirk nahi | quraan aur hadis se is ka sobut
- Keya Hazrat Abbas (a.s) se direct doa maangna shirk hai ? | Doa maangne ke 2 tariqe
"Rauza par jaa kar sar jhukaanaa" mustaqil wa alag mauzu hai khoda agar zindagi wa taufiq de to is ka jawaab baad me diyaa jaa'ae gaa
Note :
Aayatullah sistaani ki taraf se sawaal ka mokhtasar jawaab miltaa hai lehaazaa meri taraf se ye jawaab hai
Niche di gaei surkhi par daba kar jawaab ka padhna mofid hai insha'allah
- Keya "Labbaik Ya Husain" kahna shirk hai ? aur sab se pahle "Labbaik Ya Husain" kis ne kaha ?
- 72 alam nikaalna kaiysa hai ?
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azeem Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
19 / moharram / 1446 H.Q
No comments:
Comment