Keya Hazrat Faatemah ki namaaze janaazah Abu Bakr ne padhaaei ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, July 1, 2024

Keya Hazrat Faatemah ki namaaze janaazah Abu Bakr ne padhaaei ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtaram Janaab Hasan Rizvi sb (Lucknow)


As salamo alaikum Agha


Sunni riwayat me kya ye hai ke Bibi Fatima s.a ki namaze janaza Umar l.a ne padhai thi


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Omar (Umar) ne namaaze janaaza padhaaei is baare me ab tak koei rewaayat meri nazar se nahi guzri hai, haan angusht shumaar rewaayaat me aayaa hai ke Abu Bakr ne padhaaei


Is ke mota'alliq sirf aek rewaayat zikr ki jaati hai


"أخبرنا محمد بن عمر حدثنا قيس بن الربيع عن مجالد عن الشعبي قال صلى عليها أبوبكر"


"Ham ko Mohammad Bin Omar ne khabar di, ham se Qais Bin Rabi ne bayaan kiya, oun se Majaalid ne oun se Shaabi ne ke Abu Bakr ne Hazrat Faatema (سلام الله عليها) ki namaaze janaaza padhaaei"


(Tabaqaatul kubra - jild 8 - p 29 - taaleef ibne saad - naashir daar saadir beirut)


Aaeiae is rewaayat ka tahqiqi jaa'aeza lete hain


Ye rewaayat sanadan zaeif aur matnan baatil hai


Sanad ke aetebaar se :


Is rewaayat ki sanad me pahla raawi "Mohammad Bin Omar (Waaqedi)" zaeif hai


Is'haaq Bin Raahawaih ne kahaa :


" عندى ممن يضع الحديث "


"Mere nazdik ye (Mohammad Bin Omar Waaqedi) hadees ghadne waalon me se the"


Shaafe'ei ne kahaa :


Waaqedi ki ketaaben jhut ka palandaa hain


Dusre mohaddeseen ne kahaa :


In ki rewaayaten zaeif aur matruk hain


(Al - jarh wat taadeel - jild 8 - p 21 - taaleef ibne abi haatim raazi - naashir majlis daa'aeratul ma'aarif al ousmaaniyah hyderabad dakan hindustaan aur daar aehyaa at - toraasul arabi beirut)

Zahabi ne kahaa :


"إِذْ قَدِ انْعَقَدَ الإِجْمَاعُ اليَوْمَ عَلَى أَنَّهُ لَيْسَ بِحُجَّةٍ، وَأَنَّ حديثه في عداد الواهي"


"Aaj is baat par ijmaa ho chuka hai ke "Mohammad Bin Omar Waaqedi" hujjat nahi hai aur is ki hadees sakht ghair mustanad, zaeif aur kamzor me shumaar ho gi"


(Seyar aalaamun nobalaa - jild 8 - p 165 - taaleef shamsud'deen zahabi - naashir daarul hadees qaahera)

Is rewaayat ki sanad me dusra raawi "Qais Bin Rabi" bhi zaeif hai ye kasirul khataa, matrukul hadees hai aur in ke zaeif hone par ijmaa hai, Abu Haatim ke nazdik in ki ahaadees qaabile aehtejaaj nahi hain aur nasaaei ne kahaa : matruk hai


(Seyar aalaamun nobalaa - jild 7 - p 147 aur jild 8 p 527 ka haashiyah - taaleef shamsud'deen zahabi - naashir daarul hadees qaaherah)


In ke aelaawah aur bhi mota'addid sunni mohaddeseen aur olamaa ne "Qais Bin Rabi" aur "Mohammad Bin Omar Waaqedi" par sakht tanqeed ki hai, eilme rejaal ki ketaaben padhen


Rewaayat ki sanad me tisraa raawi "Shaabi" hai


ye Omar Bin Khat'taab ke daure khelaafat me paydaa huae


(tazkeratul huffaaz - jild 1 - p 63 - taaleef shamsud'deen zahabi - naashir daarul kotobul eilmiyah beirut)


Shaabi bhi zaeif hai is ke aelaawah is rewaayat ke zaeif aur kizb hone ki aek daleel ye bhi hai ke "Shaabi" ko Hazrat Faatemah (سلام الله عليها) ki shahaadat ka daur milaa hi nahi, shahaadat ka zamaana ounhon ne nahi paayaa keyon ke aap ki shahaadat Abu Bakr ke daure khelaafat me huei aur Shaabi ki welaadat Omar ke daure khelaafat me huei


Molaaheza farmaayaa ke is rewaayat ke do raawi zaeif aur jhute hain, in ki ahaadees qaabile aehtejaaj nahi hain aur tisra raawi (Shaabi) bhi zaeif hai aur Hazrat Faatemah (سلام الله عليها) ki shahaadat ke mauqe par nahi tha, in ki baat wa khabar qaabile aetebaar nahi hai lehaazaa ye rewaayat sanadan baatil wa mardud hai


Matn ke aetebaar se :


Abu Bakr ke namaaze janaaza padhaane waali mazkurah aur is ke aelaawah dusri rewaayat matnan baatil aur be asl hai


Tabaqaate kubra ki rewaayat : "Abu Bakr ne Hazrat Faatemah (سلام الله عليها) ki namaaze janaazah padhaaei" ka zikr kiyaa gayaa khud isi ketaab me dusri rewaayat hai ke Imaam Zaynul Aabedeen (عليه السلام) ne Rasule Khoda aur Hazrat Ali (عليهم السلام) ke chachaa zaad bhaaei, jalilul qadr aur buzurg sahaabi, mohaddis, faqih, haafiz aur mofassir Hazrat Ibne Abbaas se puchhaa :


"مَتَی دَفَنْتُمْ فَاطِمَةَ؟ فَقَالَ: دَفَنَّاهَا بِلَیْلٍ بَعْدَ هَدْاَةٍ، قَالَ: قُلْتُ: فَمَنْ صَلَّی عَلَیْهَا؟ قَالَ: عَلِیُّ"


"Hazrat Faatemah (عليها السلام) ko kab dafn kiya ? to Ibne Abbaas ne farmaayaa : raat me aamado raft band ho jaane (aur sannaataa chhaa jaane) ke baad aap ko dafn kiya, Imaam Sajjaad (عليه السلام) ne puchhaa kis ne aap ki namaaze janaazah padhaaei ? to Hazrat Ibne Abbaas ne farmaayaa : Ali (عليه السلام) ne"


(tabaqaatul kubra - jild 8 - p 30 - taaleef ibne saad - naashir daar saadir beirut)


Sahih bokhaari aur sahih muslim me hai :


" ... فَهَجَرَتْهُ فَلَمْ تُكَلِّمْهُ حَتَّى تُوُفِّيَتْ، وَعَاشَتْ بَعْدَ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ سِتَّةَ أَشْهُرٍ، فَلَمَّا تُوُفِّيَتْ دَفَنَهَا زَوْجُهَا عَلِيٌّ لَيْلًا، وَلَمْ يُؤْذِنْ بِهَا أَبَا بَكْرٍ وَصَلَّى عَلَيْهَا ..."


"... Hazrat Faatemah (سلام الله عليها) Abu Bakr par ghazabnaak ho gaein, oun se qat'ae ta'alluq kar liyaa aur oun se koei baat nahi ki yahaan tak ke wafaat paa gaein, Hazrat Faatemah (سلام الله عليها) Nabi (صلى الله عليه وآله) ke baad chhe mahine tak zindah rahin, jab oun ki wafaat huei to oun ke shauhar Ali (عليه السلام) ne ounhen raat me dafn kar diyaa aur Abu Bakr ko is ki khabar nahi di, aur Hazrat Ali hi ne oun ki namaaze janaaza padhaaei ... "


  1. sahih bokhaari - jild 5 - p 139 - ketaabul maghaazi - baab ghazwah khaibar ka bayaan - naashir daar tauqun'najaat

  2. sahih muslim - jild 3 - p 1380 - naashir daar aehyaa at toraasul arabi beirut

Waazeh rahe ke ye rewaayat bokhaari me do ya tin jagah maujud hai


In rewaayaat aur in ke aelaawah mota'addid rewaayaat se saabit hota hai ke namaaze janaazah Hazrat Ali (عليه السلام) ne padhaaei


Abu Bakr ke namaaze janaazah padhaane waali rewaayat sanadan aur matnan zaeif hai aur beraadaraane sunni ki motabar tareen ketaab sahih bokhaari, sahih muslum ki rewaayaat aur ous ke aelaawah kaei sahih aur motabar rewaayaat ke monaafi aur khelaaf hai


Motabar wa sahih rewaayaat ke moqaabale me zaeif rewaayat ko fauqiyat dena aur ous se istidlaal karna sahih nahi hai, osule hadees ke motaabiq sahih aur motabar rewaayaat par kisi zaeif rewaayat ko moqaddam karna intehaaei ahmaqaana fel hai lehaaza is ke sabab Abu Bakr ke namaaze janaazah padhaane waali rewaayat matnan bhi munkar, baatil, jhuti aur man ghadat hai


Is hawaale se pahli baat to ye hai ke rewaayaat me ba'alfaaze sarih ye kaha gaya hai ke Hazrat Faatemah (سلام الله عليها) ko oun ke shauhar Hazrat Ali (عليه السلام) ne raat me aamado raft band ho jaane (aur sannaataa chhaa jaane) ke baad dafn kar diya aur Abu Bakr ko oun ki wafaat (shahaadat) ki ittelaa na di


Raat me dafn kiya aur Abu Bakr ko wafaat ki khabar nahi di


Yahaan sab se aham aur samajhne waali baat ye hai ke Hazrat Faatemah (سلام الله عليها) ki namaaze janaazah aur tadfeen ke mauqe par Abu Bakr the hi nahi, jab the hi nahi to namaaze janaazah kayse padhaa di ?
bach'che ko ye baat samajh me aa jaa'aegi ke aiysaa nahi ho sakta


dusri baat ye hai ke rewaayaat me saraahat ki gaei hai ke Dokhtare Rasule Khoda Hazrat Saiy'yedah, Khaatoone Jannat (سلام الله عليهم) Abu Bakr par ghazabnaak huein, marte dam tak Abu Bakr se baat na ki is ke baa'wojud aek rewaayat ke motaabiq Hazrat Ali (عليه السلام) ne Abu Bakr ko pakad kar aage kiya phir Abu Bakr ne namaaze janaaza padhaaei


Ye ketni ajeeb baat hai ke Hazrat Faatemah (عليها السلام) jis par ghazab naak thin aur marte dam tak jis se baat na ki Hazrat Ali (عليه السلام) jaiysa shauhar ounhin se Hazrat Faatemah jaiysi sharike hayaat ki namaaze janaazah padhaane ke liae kahe !!!


Tisri baat ye hai ke sunniyon ke bahot saare buzurg olamaa ne apni ketaabon me saraahat se likhaa hai ke Hazrat Ali (عليه السلام) ne Hazrat Faatemah (عليها السلام) ki namaaze janaazah padhaaei


Khulaasa'ae tahqiq :


Abu Bakr ke namaaze janaazah padhaane ke baare me chand rewaayaten hain aur wo sab ki sab sanadan aur matnan man ghadat, makzub aur baatil hain
Hazrat Ali (عليه السلام) ne Hazrat Faatemah (سلام الله عليها) ki namaaze janaazah padhaaei is ke baare me be shumaar sahih hadisen maujud hain


Sahih hadison ke moqaabale me agar magar ka khel ach'chhi baat nahi hai


mota'assib log sirf chand zaeif rewaayat bena tahqiq pesh kar ke tamaam sahih rewaayaat ke khelaaf aqidah banaa kar samajhte hain ke Abu Bakr ne namaaze janaaza padhaaei


Is ka maqsad ye hai ke Hazrat Faatemah (سلام الله عليها) ke qaatil ko bari kiya jaa'ae aur khalifa se aap ke ghazab naak wa naaraaz hone par pardah daalaa jaa'ae aur ous ko chhupaane ki har momkin koshish ki jaa'ae


Note :


mazkurah baalaa bayaan me jin ketaabon ka hawaala diya gaya hai wo sab sunni ketaaben hain


Mofid video dekhne ke liae niche di gaei link par click karen



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


22 / zilhijjah / 1445 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen