اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab Kashish Ibne Zahir Hussain Sb, (Agra)
Assalamu'Aaleyka
Mujhe wo hdees chahiye jisne MASOOMIN as frmate hai ki agar MOLA Ali as na hote to Bibi ka koi humplla na hota
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Is silsile me Rasule Akram aur Aeimmah Maasumeen (صلوات الله و سلامه عليهم) se kaei hadees mokhtalif alfaaz ke saath waarid huei hain, oun me se sirf do ahaadees ko zail me baaz zaruri wazaahaton ke saath pesh kiya jaa raha hai
- Imaam Saadiq (عليه السلام) ne farmaayaa :
- Hazrat Imaam Reza ne apne pedare buzurg'waar aur ounhon ne apne aabaao ajdaad se naql farmaayaa hai ke Rasule Khoda ne Hazrat Ali (صلوات الله عليهم اجمعين) se farmaayaa :
" لَوْ لَا أَنَّ اللَّهَ تَبَارَكَ وَ تَعَالَى خَلَقَ أَمِيرَ الْمُؤْمِنِينَ ع لِفَاطِمَةَ مَا كَانَ لَهَاكُفْوٌ عَلَى ظَهْرِ الْأَرْضِ مِنْ آدَمَ وَ مَنْ دُونَهُ "
"agar khoda tabaaraka wa ta'aalaa Amirul Momeneen (عليه السلام) ko Faatemah (عليها السلام) ke liae paydaa na karta to puri ruae zameen par Aadam se le kar aap ke baad tak (taa qeyaamat) Hazrat Faatemah (عليها السلام) ka koei hamsar wa misl na hota"
(osule kaafi - jild 1 - p 461 - naashir daarul kotobul islaamiyah tehran)
" یا علِی لَقَدْ عَاتَبَنِی رِجَالٌ مِنْ قُرَیشٍ فِی أَمْرِ فَاطِمَةَ وَ قَالُوا خَطَبْنَاهَا إِلَیک فمَنَعْتَنَا وَ زَوَّجتَ عَلِیاً فَقُلْتُ لَهُمْ وَ اللَّهِ مَا أَنَا مَنَعْتُکمْ وَ زَوَّجْتُهُ بَلِ اللَّهُ مَنَعَکمْ وَ زَوَّجَهُ فَهَبَطَ عَلَی جَبْرَئِیلُ فقَالَ یا محَمَّدُ إِن اللَّهَ جَلَّ جَلَالُهُ یقُولُ لَوْ لَمْ أَخْلُقْ عَلِیاً لَمَا کانَ لِفَاطِمَةَ ابْنَتِک کفوٌ علَی وَجهِ الْأَرْضِ آدَمُ فَمَنْ دُونَهُ "
"Ay Ali qoraish ke mardon me se kuchh mardon ne Faatemah ke mo'aamale me mujhe malaamat ki (mujh se sakht naaraaz ho ga'ae) aur kahaa ham ne aap ko Faatemah se shaadi ke liae payghaam diya tha lekin aap ne hamaare payghaam ko qabul nahi kiya aur oun ka nekaah Ali se kar diya (aam fahm zabaan me bataa dun, Rasule Akram صلى الله عليه وآله se is mas'ale me ladne jhagadne lage to) mai (Nabi صلى الله عليه وآله) ne oun se kaha : khoda ki qasam main ne tum logon ko nahi roka aur na hi main ne Faatemah ka nekaah Ali se kiya balke Khoda ne tumhen roka (yaani khoda ne tumhen mustarad kar diya) aur Faatemah ki shaadi Ali se kar di phir Jibraeil mujh par naazil huae aur kaha : ay Mohammad beshak khoda jalla jalaalohu farmaata hai : agar mai Ali ko paydaa na karta to Aadam se le kar Aadam ke baad tak (roze qeyaamat tak) ruae zameen par aap ki beti ka koei hamsar na hota"
(behaarul anwaar - jild 43 - p 107 - naashir moas'sasah al wafaa)
jaysa ke hadees ki aebaarat se waazeh hota hai ke hadees me mazkurah jumla "agar main Ali ko paydaa na karta to Aadam se le kar dusron tak zameen par aap ki beti Faatemah ka koei kofw na hotaa" hadise qudsi hai
Is hadees ka shaane nozul aur pas manzar :
is hadees se ye bhi maalum huaa ke ye hadise qudsi ous waqt naazil huei jab qoraish ke baaz logon aur Abu Bakr wa Omar ne Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) se Hazrat Faatemah (سلام الله عليها) ka rishta maanga tha lekin Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne ye rishta thukra diya phir Hazrat Faatemah ka nekaah Hazrat Ali (عليهم السلام) se ho gaya
yahaan mirza ghaalib ka mash'hur sher likhne ko ji chaahta hai
کعبہ کس منہ سے جاؤگے غالب
شرم تم کو مگر نہیں آتی
kaaba kis munh se jaao ge ghaalib
sharm tum ko magar nahi aati
Aekhtetaam par is baat ka zikr lutf se khaali nahi :
lafz "kofw" qur'aan hakeem me sirf aek baar aayaa hai wo bhi Khoda ki zaat ke liae, surah aekhlaas me hai :
" وَلَمۡ يَكُن لَّهُۥ كُفُوًا أَحَدُ "
"aur na koei ous ka hamsar wa misl hai"
ous ki zaat me na ous ki sefaat me aur na ous ke af'aal me ...
yahi lafz (kofw) Hazrat Ali aur Hazrat Faatemah (سلام الله عليهم) ke mo'aamale me Khoda hi ne istemaal kiya hai yaani jo lafz Khoda ne apni zaat ke liae istemaal kiya hai wahi Hazrat Ali aur Hazrat Faatemah (عليهم السلام) ke mas'ale me istemaal kiya hai, agar Hazrat Ali (عليه السلام) na hote to taa qeyaamat Hazrat Faatemah (عليها السلام) ka koei kofw na hota, aap ki zaat me na aap ki sefaat me, na aap ke maqaamo manzelat me aur na aap ke af'aal ... me
is se aap hazaraat ki azmat ka andaaza lagta hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
16 / zilhijjah / 1445 H.Q
No comments:
Comment