Zewaraat par khums hai ya zakaat ? | qarz ki raqam se biwi aur bahen ke liae kharide ga'ae zewaraat par khums ke ahkaam | maqruz par khums ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, June 3, 2024

Zewaraat par khums hai ya zakaat ? | qarz ki raqam se biwi aur bahen ke liae kharide ga'ae zewaraat par khums ke ahkaam | maqruz par khums ka hukm

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : beraadare mohtaram


Salaam alaikum
Agar kisi shakhs ne gold kharida ho biwi ko dene ke liye aur bahan ke dahez ki gharaz se to mujhe janna hai ke :


  1. Keya gold pe khums nilklega ya zakaat ya dono ?

  2. agar gold qarz le ke kharida ho to keya khums ya zakaat niklega ? Qarz gold kharidne ke maqsad se hi liya hai.

  3. Aur keya jo qarzdaar ho jispe pahle se qarz ho aur wo gold kharide apni salary se biwi ko dene aur bahan ke dahez ki gharaz se to khums ya zakaat nikaalna uske liye zaruri hai ? Aur kitna niklega ?

Taqlid : Aagha Sistaani sahab

NOTE : Guzaarish hai ke mera naam zaahir na kijiye ga


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Mandarja zail tamaam sawaalaat ke jawaabaat molaaheza farmaa'aen :


  1. sone ke zewaraat par zakaat nahi hai

  2. biwi ke liae kharide ga'ae zewaraat ki do (two) suraten hain :

    1. agar aap sone ka zewar ous ke naam se rakhen ke shaadi ke mauqe par ous ko den ge to is surat me chun ke jab tak shaadi ke mauqe par ous ko zewar nahi den ge, tab tak wo zewar aap ki milkiyat hi me shumaar ho gaa, is liae ous ka khums aap par waajib hai

    2. biwi ko hadiyah wa tohfah de diya (gift kar diya) to is surat me zewaraat ka khums na aap par waajib hoga aur na hi aap ki biwi par waajib hoga

    3. biwi par is shart ke saath waajib nahi hoga ke zewaraat ba'meqdaare maamul wa marsum hon aur ous ke shaayaane shaan hon (ous ki shaan ke monaasib hon)


  3. qarz ki raqam se biwi ke liae kharide ga'ae zewaraat par khums nahi hai, khums ki taarikh aane par sirf ous raqam par khums waajib hai jo qiston me adaa ki gaei ho

  4. apne aekh'raajaat ke liae qarz liya tha aur maqruz hone ke baa'wojud apni tankhaah se zewaraat kharide taake shaadi ke mauqe par apni biwi ko den to aiysi surat me oun zewaraat par khums waajib hai

  5. sone ki qimat ka paanchwaan hissah (20 fi'sadi) khums diya jaa'ae gaa

  6. bahen ke jahez ke liae kharide ga'ae zewaraat par khums waajib hai

  7. aek surat me aap par khums waajib nahi hoga, zewaraat bahen ko hebah (belaa qimat wa aewaz haq'qe milkiyat ki muntaqeli / bakh'shish) kar den


qiston aur jahez par khums ke baare me molaaheza karen :


  1. Qarz li huei raqam aur saamaan par khums ke wojub ka hukm

  2. Jahez ka matlab | haqiqat | is ki tabaahi (video)

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


25 / zilqaadah / 1445 H.Q

Roze dah'wul arz

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen