اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
باسم الحى الذى لا يموت
یا صاحب الزمان ادرکنا
مَنْ مٰاتَ عَلىٰ حُبِّ آلِ مُحَمَّدٍ مٰاتَ شَهيٖداً
Jo aale mohammad ki mohabbat par faut huaa, wo shaheed maraa
Iran me helicopter haadese me Shahid hone waalon ke naam aur tadaad :








Salawaat ke saath Surah Hamd, Tauhid aur tadfin ke baad Namaaze Wahshat ki guzaarish hai
Note :
- Aaj kisi ki bhi tadfin nahi huei hai
President ki tadfin kal qabl az azaane maghrib ba'waqte Mash'hade Moqaddas, Harame Imaame Reza (علیه السلام) me hogi - Foreign Minister aur Saiyed Mahdi Musavi ki tadfin kal qabl yaa baad az zohr Hazrat Abdul Azim (علیه السلام) ke haram (Tehran) me hogi
- Imaame Jum'ah ko kal hi Tabriz me aur governor ko parson maragheh city me supurde khaak kiya jaa'ae ga
Aaj ba'taarikh 14 zil qaadah 1445 motaabiq 23 may 2024 baroz jume'raat shaheed hone waale mandarja zail mohibbaane ahlebaite at'haar (عليهم السلام) ki tadfeen shaayaane shaan andaaz me ho chuki hai :
- Saiyed Ibraahim Raeisi ibne Saiyed Haaji Raeisus Saadaati
- Saiyed Mohammad Ali Aale Haashim ibne Saiyed Mohammad Taqi
- Husain Amir Abdollaahiyaan ibne Mohammad
- Saiyed Taahir Mustafavi ibne Saiyed Ahmad
- Mohsin Daryanush ibne Mokhtaar
- Behrooz Qadimi ibne Is'haaq
Shahidon me se "Maalik Rahmati ibne Iskandar" aur "Syed Mahdi Musavi ibne Saiyed Mohammad Ali" ko dafn nahi kiyaa gayaa hai, oun ko kal yaani 15 zil qaadah motaabiq 24 may baroz jum'ah supurde khaak kiyaa jaa'ae gaa
namaaze wahshat ke mota'alliq mofid jaankaari ke liae niche di gaei surkhi dabaa'aen
No comments:
Comment