Keya subh ki qaza namaaz zohr se pahle padhna zaruri hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, April 5, 2024

Keya subh ki qaza namaaz zohr se pahle padhna zaruri hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : +9194153...


Sarkar swkm, mai fazir me nahi uth pata hu to Zohar ki namaz bina fazir ki kaza padhey, padhi ja sakti hai, ya Zohar ke baad fazir ki kaza padhi jaye ?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Aap ko aekhteyaar hai, chaahen to zohr ki namaaz se pahle subh ki qazaa namaaz padh sakte hain, chaahen to namaaze zohr ke baad padhen agarche subh ki qazaa namaaz ko namaaze zohr se pahle padh lena behtar hai


tamaam momeneen aur momenaate geraami se aek martaba phir guzaarish hai ke shar'ei mas'alah puchte waqt apne marja ka naam zarur bataa'aen


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


26 / ramzaanul mobaarak / 1445 H.Q

subscribe us on youtube


No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen