Namaaz se pahle azaan aur aeqaamat kahne ka keya hukm hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, December 29, 2023

Namaaz se pahle azaan aur aeqaamat kahne ka keya hukm hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtaram janaab Syed Mohammad Bazmi Sb / Lucknow


Salaam Alaikum


Kya islam me azaan aur waajib namaaz me aqaamat waajib hai ya nahi.


Aap ke jawaab ka muntazir


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


panjgaana (subh, zohr, asr, maghrib aur aeshaa) ki namaaz se pahle azaan aur aeqaamat kahne ke mota'alliq mokhtalif aqwaal aur ahkaam hain, ye ijtehaadi aur eilmi bahs hai, awaam ko is baare me bataane ki zarurat nahi, jis baat ka zikr karna zaruri hai wo ye hai :


mard aur aurat ke liae panjgaana namaaz se pahle azaan aur phir aeqaamat kahna mustahab hai, waajib nahi. albatta mardon ke liae azaan aur aeqaamat kahne ki zeyaadah taakeed farmaaei gaei hai.


waazeh rahe ke sawaab ke aetebaar se azaan aur aeqaamat mustaqil hai yaani agar sirf azaan kahen to ous ka sawaab mile ga aur agar sirf aeqaamat kahen to ous ka sawaab mile ga, dono ka alag sawaab hai, aiysa nahi hai ke agar azaan kahen to aeqaamat bhi kahen ya aeqaamat kahen to azaan bhi kahen, agar aeqaamat chhod kar azaan par eiktefaa kiya to is me koei haraj nahi hai albatta aeqaamat kahne par taakeed zeyaadah hai. 


5 waqt ki namaazon ke aelaawah dusri waajib namaazon jaiyse namaaze aayaat, namaaze janaazah ... se pahle azaan aur aeqaamat kahna jaa'aez nahi hai, baqaul baaz foqahaa bid'at aur haraam hai.


isi tarah mustahabbi namaazon se pahle azaan aur aeqaamat kahna jaa'aez nahi hai albatta namaaze eide fitr aur qurbaan se pahle 3 martabah "As'salaat" kahna mustahab hai ba'sharte ke ye namaazen jamaa'at ke saath padhi jaa'aen.


shaayad kisi ke zehn me ye sawaal aa'ae ke khutba'ae namaaze jum'ah se pahle azaan aur ous ke baad aeqaamat keyon kahi jaati hai ?


is ka jawaab ye hai ke namaaze jum'ah ka namaaze panjgaana me shumaar hota hai, namaaze zohr ki jagah namaaze jum'ah hai, is liae azaan aur aeqaamat kahna mustahab hai.


Niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka molaaheza farmaana mofid hai انشاءالله


  1. Keya azaan wa aeqaamat waajib hai ? kab saaqit ho jaati hai ? bhul jaane ki surat me namaaz todne ka hukm

  2. Azaan ke waqt kutton ka bhunkna | mo'azzin wa azaan ke sharaa'aet | aadaab

  3. Jab aek namaaz ke liae azaan wa aeqaamat kah di jaa'ae to dusri namaaz ke liae kahne ka mas'ala | auraton ke liae azaan wa aeqaamat kahne ka hukm

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


13 / jomaadiyus saani / 1445 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen