اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab Syed Abrar Hussain Sb. (Patna - bihar)
Salamun alaikum Agha
Agha mera ek sawal hai - Mai apni bacchi ka birth certificate nikalwane gaya tha jaha uski wiladat hui thi.
Certificate dene ka waqt unhone 15 din ka bataya chuke mujhe dusre shahar jana tha to maine jaldi dene ko kaha jisper unhone 200 rs mange jiska koi written receipt nahi diya aor maine jaldbazi me diya.
Ek sahab ne humse kaha ye ghalat hai ki aapne 200 rs diya ye rishwat hai aor rishwat lena ya dena gunah hai...
Sawal yahi hai ke chuke maine ye gunah kiya to mujhe iska kaffare me kya kerna hoga..... Mujhe aapke jawab ka intezar hai.
Agha Sistani ka muqallid hu...
Jawaab :
باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته
agar kisi ka haq zaa'ae hone ka sabab na bane to kaam jaldi karaane ke liae rishwat dene me koei haraj nahi hai aur kaffaarah bhi nahi hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
30 / moharram / 1445 H.Q
No comments:
Comment