keya qabr par Maasum jaiysa naam likhna aur ous par chalna jaa'aez hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, August 4, 2023

keya qabr par Maasum jaiysa naam likhna aur ous par chalna jaa'aez hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtarama janaab Saima Sb (Lucknow)


Sawal


Kya jo qabar par naam likhe rehnte hain sahi hai
Fatima, Hasan, Ali, Zehra, Hussain, Abbas, Fizza waghairah
Kya ye sahi hai ?


Ham log agar qabristaan jaate waha ye sab naam pair ke niche aate hain kya sahi hai jo qabar par likha hota hai ?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


Qabron par aiyse logon ke naam likhne aur ous ke oupar chalne wa baithne me koei haraj nahi jin ka naam Maasumin ya moqad'das hastiyon (عليهم السلام) jaiysa ho (yaani oun ke ham naam ho, jaiyse Faatema, Hasan aur Ali ...)


lekin agar kisi shakhs ke naam ki aezaafat Maasumin ya moqad'das hastiyon (عليهم السلام) ke isme mobaarak ki taraf ki jaa'ae yaani ous ke naam ke saath Maasumin ya moqad'das hastiyon (صلوات الله و سلامه عليهم) ka ism lagaaya jaa'ae jaiyse Gholaam mohammad, Gholaam ali, Gholaam husain, Gholaam reza, Kaniz faatema, Kaniz zahra, Abdur reza aur Abdul husain ya Gholaam abbaad waghaiyrah


gholaam, abd aur kaniz ki aezaafat Maasumin ya moqad'das hasti (عليهم السلام) ke ism ki taraf ki gaei hai, is ke saath Maasumin ya moqad'das hasti (سلام الله عليهم) ka ism lagaaya gaya hai


is surat me Maasumin ya moqad'das hastiyon (عليهم السلام) ke naam (Mohammad, Ali, Husain, Reza, Faatema, Zahra, Abbaas ...) par chalna aur baithna shar'an jaa'aez nahi hai is liae ke ye oun ke mobaarak wa moqaddas naamon ki be'hurmati hai


waazeh rahe ke agar kisi ke naam ki aezaafat khoda ke ism ki taraf di gaei ho jaiyse Abdullah, Abdur'rahmaan to ous ka bhi hukm wahi hai jo oupar bayaan kiya gaya hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


16 / moharraam / 1445 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen