اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : +9194153...
Swkm, sarkar kya moharram aur safar ke mahine me ghar ka jala jo makdi banati hai ko hataya ja sakta hai
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
maahe moharram aur safar me har khushi waale kaam se gurez karna zaruri hai lekin ghar ki safaa'ei suthraa'ei aur ghar se makdi ke jaale hataane wa saaf karne me koei haraj nahi hai
albatta Roze aashura dunyaawi kaam kaaj me mash'ghul na hon is liae ke ye huzno andoh, nauha aur maatam, girya wa zaari aur azaadaari ka din hai khud azaadaari karen aur apne ahlo ayaal se kahen ke wo bhi is tarah azaadaari wa girya karen jis tarah maa baap ya aulaad ki maut par karte hain
mazid aur mofid maalumaat ke liae site me "Moharram" ka shoba dekh len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
10 / safar / 1445 H.Q
Aarzi qeyaam gaah Nurbaadi / Lucknow
No comments:
Comment