اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab Arshad Sb / Lucknow
Salam Alaikum
Imam Zamana ka sadqa kaise nikalna chahiye ? Aur wo kisko de sakte hain ? Kisi ghair Muslim ko de sakte hain ?
Sawal karne wale : Mohammad Hasnain, Lucknow
Mobile number : 63069...
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Imaame Zamaana (ارواحنا له الفدا) ke muntazereen ki aek aham zimmedaari ye hai ke oun ki taraf se sadqah den
Sadqah dene ke 2 tariqe hain :
- Imaame Asr (عجل الله تعالى فرجه الشريف) ki salaamti ke liae den
- Imaame Zamaana (روحى و ارواح العالمين له الفدا) ki taraf se den (yaani aap ki neyaabat me den)
Is ki niyat is tarah karni chaahiae :
masalan 10 rupiye Imaame Zamaana (عجل الله فرجه) ki salaamti ke liae nikaalta / nikaalti hun qurbatan aelallah
is ki niyat is tarah karen ke masalan 10 rupiye Imaame Zamaana (عجل الله تعالى فرجه الشريف) ki jaanib se deta / deti hun qurbatan aelallah
salaamti ya oun ki taraf se dene ke liae dil me niyat kar lena kaafi hai zabaan se niyat karna zaruri nahi
Sadqah kis ko dena chaahiae ?
waazeh rahe ke sadqah ki 2 qismen hain
Waajib sadqah aur Mustahab sadqah
- waajib sadqah ous sadqah ko kaha jaata hai jo shari'at ki taraf se waajib ho jaiyse fitrah waghairah
- mustahab sadqah wo hai jo shari'at ki taraf se laazim na ho jaiyse mosibaton, parishaaniyon, bimaariyon aur balaa'on waghairah ko taalne ke liae sadqah dena
ye mustahaq ko hi diya jaa sakta hai ya is ke jo masaarif hain wahin kharch kar sakte hain kisi dusri jagah par istemaal nahi kar sakte
ya lmaame Zamaana (عجل الله تعالى فرجه الشريف) ki salaamti ke liae ya oun ki taraf se sadqah dena
ye sadqah kisi bhi shakhs ko de sakte hain is ke liae islaam ya eimaan shart nahi lehaaza ghair muslim ko bhi de sakte hain basharte ke wo, momeneen se bughzo aenaad na rakhta ho aur oun se dushmani na kare
sadqah ke mota'alliq mazid maalumaat ke liae site ke "MENU" me "SADAQAAT" ka shoba molaaheza farmaa len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat - Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
29 / moharram / 1445 H.Q
No comments:
Comment