اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : +91727500....
Agha
Assalam o alaikum
Ek sawal tha Mera
- kiya bakara eid par ahle sunnat bhai jis bakare par qurbani karte hain wo sahi hai ya shia jis bakare par qurbani karte hain wo sahi hai ya dono sahi hai.
- aur bakara eid par qurbani se pahle namaz kyun jab ki khuda ka shukar qurbani ke baad hai.
Please jawab zarur dijiyega
Wasallam...
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
- Site ke menu me "Qurbaani ke ahkaam" me No - 6 padh len shaayad is ke mota'alliq sawaal ka jawaab aap ko mil jaa'ae
- Aap ki khidmat me arz kar dun ke qurbaani ki mokhtalif hikmaten, asraar aur ahdaafo maqaasid hain sirf khoda ka shukr ada karna nahi hai
qurbaani ka aek maqsad khoda ki nematon par ous ka shukr ada karna hai
khoda ki ataa kardah har nemat qaabile qadr hai aur qaabile tashak'kur bhi
musalmaan ko khoda ne haj karne ki taufiq ataa farmaaei, haj karne waale ko khoda ne apne ruhaani mehmaan ke taur par daawat di, belaa shubhah ye aek nemat hai
khoda ki is nemat par haaji qurbaani kar ke parwar'degaar ka shukr ada karta hai
surah haj aayat 36 me is ki taraf aeshaarah hai
khoda ne ham ko maaddi aur ruhaani nematen di hain
Amirul Momeneen Ali (عليه السلام) ki "welaayat" jaiysi azim nemat di hai
eide qurbaan ke din qurbaani kar ke khoda ki in nematon par ous ka shukr adaa karte hain
khodaa wande aalam ne Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) ko "Kausar" jaiysi azeem nemat ataa ki to surah "Kausar" me 2 amal ka taqaaza kiya gaya hai; namaaz aur qurbaani
"apne rab ke liae namaaz padhi'ae aur qurbaani kiji'ae"
baa alfaaze digar Kausar jaiysi azeem nemaat par qurbaani ko aek qism ki shukr guzaari shumaar kiya hai
aam taur par nematon ke milne ke baad shukr adaa kiya jaata hai
khud qurbaani khoda ka shukr hai lehaaza nematon ke milne ke baad qurbaani kar ke ous ka shukr ada karte hain
qurbaani ke waqt ke mota'alliq menu me "Qurbaani ke ahkaam" me No - 3 molaaheza farmaa len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
12 / zilhijjah / 1444 H.Q
No comments:
Comment