Keya ye sahih hai ke Abu Bakr ko Nabi (s.a.w) ne farmaaya ke tumhaare dil me shirk choonti ki chaal se bhi zeyaadah poshidah hai - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, July 20, 2023

Keya ye sahih hai ke Abu Bakr ko Nabi (s.a.w) ne farmaaya ke tumhaare dil me shirk choonti ki chaal se bhi zeyaadah poshidah hai

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : beraadare mohtaram / pakistan


"Abu Bakr tumhare dil mein kufr cheonti ki chaal chal raha hai".


Mera naam show na karen
shukaria


Jawaab :


باسمه تعالى
یا صاحب الزمان ادرکنا
سلام عليكم


Maqsade sawaal waazeh nahi hai, ise wazaahat se tahrir farmaa'aen


Shaayad sawaal se aap ki moraad darj zail hadis hai :


"...مَعْقِلَ بْنَ يَسَارٍ، يَقُولُ: انْطَلَقْتُ مَعَ أَبِي بَكْرٍ الصِّدِّيقِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، إِلَى النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَقَالَ: ”يَا أَبَا بَكْرٍ، لَلشِّرْكُ فِيكُمْ أَخْفَى مِنْ دَبِيبِ النَّمْلِ“، فَقَالَ أَبُو بَكْرٍ: وَهَلِ الشِّرْكُ إِلا مَنْ جَعَلَ مَعَ اللَّهِ إِلَهًا آخَرَ؟ فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ”وَالَّذِي نَفْسِي بِيَدِهِ، لَلشِّرْكُ أَخْفَى مِنْ دَبِيبِ النَّمْلِ، أَلا أَدُلُّكَ عَلَى شَيْءٍ إِذَا قُلْتَهُ ذَهَبَ عَنْكَ قَلِيلُهُ وَكَثِيرُهُ؟“ قَالَ: ”قُلِ: اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ أَنْ أُشْرِكَ بِكَ وَأَنَا أَعْلَمُ، وَأَسْتَغْفِرُكَ لِمَا لا أَعْلَمُ.“


... Maaqil Bin Yasaar se rewaayat hai :


wo kahte hain ke main Abu Bakr ke hamraah Nabi (صلی الله علیه وسلم) ki khidmat me haazir huaa to aap (صلی الله علیه وسلم) ne farmaaya :


Ay Abu Bakr yaqinan shirk tum (Abu Bakr aur Maaqil Bin Yasaar) me choonti (ant) ki chaal se bhi zeyaadah makhfi wa poshida hai


Abu Bakr ne kaha :


Khoda ke saath kisi ko sharik thahraane ke aelaawa bhi shirk hota hai ?
Nabi (صلی الله علیه وسلم) ne farmaaya : ous zaat ki qasam jis ke haath me meri jaan hai yaqinan shirk choonti ke rengne se bhi zeyaadah poshida hai
keya main teri raahnumaa'ei aisy chiz ki taraf na karu ke jab tum wo kah lo to kam aur zeyaadah (chhota - bada) shirk tujh se khatm ho jaa'ae ga ?


Nabi (صلی الله علیه وسلم) ne farmaaya : tum kaho : ay Allaah ! main teri panaah chaahta hun ke main jaante bujhte tere saath shirk karun aur jo main nahi jaanta ous ke baare me istighfaar karta hun.


Sunni ketaabon ke sirf do hawaale :


  1. "sahihul adabul mufrad" baab : doa ki fazilat rewaayat number 716 taalif sahih bokhaari ke mo'allif

  2. tafsir ibne kasir jild 4 safha 360 wa 361 surah yusuf aayat 106 ki tafsir ke zail me

waazeh rahe ke baaz sunni kahte hain hadis me khetaab "fikum (فیکم)" jama mokhaatab ki zamir ke saath hai (yaani tum logon me shirk choonti ki chaal se bhi zeyaadah poshida hai) "fika (فیك)" yaani aek nahi farmaaya lehaaza is khetaab me tamaam log mokhaatab hain na ke sirf Abu Bakr


pahli baat ye ke aiysa kahne waalon ne hadis ka ba'ghaur motaala'aa nahi kiya hai mokhaatab Abu Bakr aur Maaqil Bin Yasaar dono hain is liae khetaab jama mokhaatab ki zamir ke saath hai


dusri baat ye ke agar maan len ke tamaam log mokhaatab hain to is surat me Abu Bakr bhi oun me shaamil hain


ye bhi kahte hain yahaan shirk se moraad khoda ki zaat wa sefaat me kisi ghair ko sharik karna nahi hai balke reyaakaari moraad hai


is ta'alluq se pahli baat ye ke jab Abu Bakr ne puchha khoda ke saath kisi ko sharik thahraane ke aelaawa bhi shirk hota hai ?


jawaab me Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne bas itna farmaaya ke ous zaat ki qasam jis ke haath me meri jaan hai yaqinan shirk choonti ke rengne se bhi zeyaadah poshida hai, reyaakaari ke ta'alluq se kuchh nahi farmaaya


keya sunni hazaraat Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) se (ma'aaz allaah / معاذالله) zeyaadah jaante hain


yahaan shirk se moraad reyaakaari hai hadis me is ki wazaahat nahi hai


dusri baat ye ke baaz ketaabon jaiyse hawaala number 2 me kam aur zeyaadah shirk ke bajaa'ae chhote bade shirk ka tazkerah hai yaani yaqinan chhota bada shirk tum me choonti ki chaal se bhi zeyaadah poshida hai


khud sunni olama ne likha hai ke shirk ki do qismen hain shirke azim wa akbar (sab se bada shirk) aur shirke saghir ya asghar (chhota shirk)


shirke azim se moraad khoda ki zaat me kisi ghair ko sharik karna hai aur shirke saghir se moraad "reyaa" hai


ye bhi aek qarina hai ke hadis me shirk se moraad sirf reyaakaari nahi hai


yahaan ye bhi batla dun ke "reyaakaari" ki aqsaam hain oun me se aek "eimaan me reyaa" hai yaani sach'che dil se eimaan na laana masalan kalema'ae shahaadatain kahe ... lekin dil se ous ki tasdiq na kare


tisri baat ye ke Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne jo doa taalim farmaa'ei ous me hai ke "ay Allaah main teri panaah chaahta hun ke main jaante bujhte tere saath sharik karun..."


aap ne molaaheza farmaaya ke is me hai "tere saath sharik karun"


is jumle se waazeh hai ke hadis me shirk se moraad reyaakaari nahi hai balke khoda ki zaat wa sefaat me kisi ghair ko sharik karna hai


Khulaasa'ae kalaam :


mazkurah rewaayat se ye waazeh hota hai ke Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ke nazdik Abu Bakr musalmaan hone ke baa'wojud bhi mushrik the


farz kar len ke mazkurah hadis me shirk se moraad khoda ki zaat me kisi ko sharik karna nahi balke "reyaa" hai to is rewaayat ke motaabiq Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ki nazar me Abu Bakr yaqinan reyaakaar the aur reyaakaar ka amal zaa'ae ho jaata hai ous ka koei amal qabul nahi


Niche di gaei surkhi (headline) par click kar ke jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله


  1. khutba'ae ghadir me sahifa-e-mal'ounah aur as'haabe sahifa se keya moraad hai ?

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


29 / Zil'hijjah /1444 H.Q

waqti qeyaam'gaah : Ahmedabad / Gujaraat

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen