اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab Tanvir Ali Sb / Delhi
Salam Aagha,
In dino yaani eid al adha tak baal, daadhi aur nakhoon banaya ja sakta hai ?
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Mokhtasar jawaab :
ji, koei haraj nahi hai, mard aur aurat dono ke liae yahi hukm hai
Qadre tafsili jawaab :
Maasumin (صلوات الله و سلامه عليهم) se marwi ahaadees se istidlaal karte huae aksar foqahaa'ae shia likhte hain :
koei shakhs haj ka aeraadah rakhta ho to wo maahe ziqaadah ki pahli taarikh se aur jo shakhs oumra'ae mufradah ka qasdo aeraadah rakhta ho to wo aek maah pahle, (nazaafat aur safaaei ki re'aayat karte huae) sar aur daadhi ke baal chhod de yaani badha le, na kaate
bela shubhah ye aek mustahab amal hai aur ye istehbaab mard wa aurat dono ke liae hai jin ka aeraadah hajo oumre ka hai
mazkurah hukm ki hikmaten hain oun ko bayaan ka yahaan mauqa nahi
aap ne molaaheza farmaaya ke oupar bayaan kiae ga'ae mas'ale ke motaabiq baal na kaatna ous ke liae mustahab hai jo hajo oumre ka aeraadah kare
shia fiqh me aam insaan ke liae aiysi koei baat mazkur nahi hai
sun'ni fiqh me hai ke jis ka aeraadah qurbaani karne ka hai khaah mard ho ya aurat wo maahe zilhijjah ke aaghaaz se qurbaani karne tak jism ke kisi ouzw se baal saaf na kare, naakhun na kaate aur murdaar khaal waghairah bhi na kaate aur na katwaa'ae
Niche di gaei Headline par click kar ke jawaab ka molaaheza farmaana mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
8 / zilhijjah / 1444 H.Q
shabe arafah aur shabe shahaadat Hazrat Muslim Bin Aqeel (عليه ابسلام)
No comments:
Comment