اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab Mujahid Raushan Ali Sb / Central Africa
Salaam
Mera sawal ye hai ke agar ghar par koei kaafir aaye aur usne spoon ke sath khana khaya to kya ham use normal wash kar sakte hain ya use paak karna padega aur usne toilet bhi use kiya hai towel bhi use kiya hai to kya ham use paak kare ya normal wash kare ya koei masla nahi hai
Shukriya
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Spoon (chamchaa) ke mota'alliq jawaab :
chamchaa najis hai
Paak karne ka tariqa :
ouse 3 martaba paani se dho liya jaa'ae to paak ho jaa'ae ga
dusre zarf wa bartan jo khaane pine ke liae istemaal hote hain jaiyse plate aur glass waghairah oun ke liae bhi dhone wa paak karne ka yahi hukm wa tariqa hai
waazeh rahe ke chamche ya khaane pine ke bartanon par chiknaahat aetni kam ho ke oun tak paani pahunchne me maane wa rokaawat na ho to sirf dhona kaafi hai
lekin agar chiknaahat aetni zeyaadah ho ke oun tak paani pahunchne me rokaawat ho to is surat me dhone se qabl chiknaahat ko dur karen
Toilet (baytul khalaa) ke mota'alliq jawaab :
najis hai
Paak karne ka tariqa :
ous par aetna paani bahaa'aen ke jaari ho kar naali wagairah me chala jaa'ae to paak ho jaa'ae ga
Towel (tauliyaa) ke mota'alliq jawaab :
agar aabe kur ya aabe jaari ya baarish ke paani se aek baar is tarah dho'aen ke paani tamaam najis jagah tak pahunch jaa'ae to paak ho jaa'ae ga
nichodna ya masalna zaruri nahi hai
lekin agar aabe qalil se dho'aen to aek hi martaba dhone ke baad ous ko nichodna zaruri hai taake jo paani ous me rah gaya hai (ghosaalah) wo nikal jaa'ae
lebaas aur kapdon ke liae bhi dhone wa paak karne ka yahi hukm wa tariqa hai
Note :
har najis chiz ous waqt tak paak nahi hogi jab tak ous se najaasat ka ain wa zarraat zaa'ael na ho jaa'ae
masalan agar tauliyaa ya lebaas ya baiytul khala par khun ya paa'khaana laga ho to pahle ous ko bar taraf wa zaa'ael karna zaruri hai, albatta sirf khun yaa paa'khaana ka rang ho to koei haraj nahi, paak ho jaa'ae ga
Niche di gaei headline par click kar ke jawaab ko molaaheza farmaana mofid hai انشاءالله
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna- shoba-e-sawaalaat Qum / iran
25 / zilqaadah / 1444 H.Q
No comments:
Comment