Chori ke shubhah me molaazim se wosul ki gaei raqam ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, June 19, 2023

Chori ke shubhah me molaazim se wosul ki gaei raqam ka hukm

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


sawaal az : mohtaeam Janaab Kayani Sb / Congo - Bukavo


Salaam


Mere kaam wale ne chori ki mujhe shak hai par usne qabool nahi kiya aur maine apni aankho se bhi nahi dekha sirf mujhe shak hai ke usne chori ki hai maine usse kaha ke tum ko ye paisa dena padega nahi to tum ko kaam se hata denge har maah main tumhare salary me se cut karunga usne ye qabool kar liya ab sawal ye hai ke kya shak ki bunyad par ham usse paise le sakte hain ham wo paisa rakh sakte hain yahi puchhna tha


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


sawaal ke motaabiq is raqam ka hukm ye hai ke ye paiyse lenaa aur is ka istemaal jaa'aez nahi hai


Note :


aap ne voice messag ke zariae sawaal kiya tha wasaa'ael ki kami ke baa'aes video nahi ban paa'ei to tahriri sawaal manga kar jawaab diya gaya hai lehaaza taakhir ho gaei maazerat


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


30 / ziqaadah / 1444 H.Q

subscribe us on youtube

roze shahaadate imaam jawaad عليه السلام (aek rewaayat ke motaabiq )

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen