اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab Kumail Abbas Sb (UP)
Asslamun Alekum
Mera sawal hai
Kiya Imam Hussain as ne Rahib ko 7 bete ata kiye the ??
Marja - Ayatulla Sistani sahab
My Name- Kumail Abbas
Add - Muzaffarnagar uttarpardesh India
Jawaab :
باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
Sab se pahle is maajra ke baare me jaanna zaruri hai taa ke sawaal ka jawaab dene me madad mile
Baaz log qissa'ae raahib ke mota'alliq jo bayaan karte hain ous ka kholaasa ye hai :
aek raahib (eisaaei aabid wa paadri) tha jis ka koei bach'cha na tha, aulaad ke liae Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ki khidmat me aaya, jab aap ne doa karne ka aeraadah kiya to ousi waqt Hazrat Jibra'eil naazil huae aur arz kiya aap ka rab farmaata hai ke aulaad ki doa na kijiae keyon ke is raahib ki qismat wa taqdeer me farzand nahi hai lekin Imaam Husain (علیه السلام) ne farmaaya me ne is ko aek farzand ata kiya
Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne doa karne se mana kiya to phir Imaam Husain (عليه السلام) ne aek pesar aur diya
al'qissa Nabiye kareem (صلى الله عليه وآله) jis qadr mana farmaate the ousi qadr Imaam Husain (عليه السلام) har baar aek farzand ka aezaafa farmaa dete the yahaan tak isi tarah raahib ko 7 farzand ata kiae
phir Jibra'eil (عليه السلام) naazil huae aur Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) se kaha :
Khoda farmaata hai farzand ata karne se mana na karen
Imaam Husain (علیه السلام) 3 din ke bhuke peyaase, aqraba aur as'haab ke saath shahid kiae jaa'aen ge lehaaza Husain mere nazdik aetne peyaare wa mahbub hain ke agar ye 70 farzand ata krenge to mai bhi 70 farzand ata karunga
Raahib ne Imaam Husain (علیه السلام) ko dawat di ke kabhi mere gharib'khaane ko bhi raunaq bakhshen wahan harir aur kataan (alsi ke darakht ke reshe se bana huaa kapda) ke kapde bahot hain
Imaam Husain (علیه السلام) ne waada kiya ke azizo aqraba ke saath tere ghar zarur aa'ounga
Baade shahaadat Imaam Husain (علیه السلام) ka sare aqdas jab raahib ke ghar pahuncha to farmaaya : mai ne waada wafaa'ei ki ab tu apna waada wafa kar. yaani harir aur kataan ke kapdon ke badle aek aek chaadar hi mere Ahlebait ko odhaa de ...
raahib ko 7 bete ata karne ke ta'alluq se chand baaten qaabile ghaur hain :
Pahli baat ye ke raahib shaadi nahi karte is liae ke wo shaadi ke baad kalisaa ki khidmat nahi kar saken ge lehaaza kalisaa ki khidmat ke liae apni zindagi ko waqf kar dete hain
jab shaadi nahi karte to aulaad maangna bekaar wa fozul hai
dusri baat ye ke khoda ne kaha raahib ki qismat me farzand nahi hai lekin Imaam Husain (علیه السلام) ne farzand ata kiae, (ma'aazallah) keya Imaam Husain (علیه السلام) Khoda se bhi zeyaadah behtar jaan'ne waale the ?
tisri baat ye ke ye amr bhi yahan qaabile tawajjoh hai ke mashiyate khoda aur 14 Maasumin, min'jumla Imaam Husain (صلوات الله و سلامه علیهم) ke aeraade me judaa'ei ho hi nahi sakti
isi tarah Rasule Khoda aur Imaam Husain (علیهم السلام) ke aeraade me judaa'ei nahi ho sakti, dono ki marzi aek hi hai
is liae ke Mohammad aur Husain (سلام الله علیهم) ki haqiqat aek hai
jo Khoda chaahta hai wahi 14 Maasumin chaahte hain aur jo 14 Maasumin (علیهم السلام) chaahte hain wahi khoda chaahta hai
bahot saari aayaat aur rewaayaat maujud hain jin me saraahat ke saath mazkur hai ke 14 Maasumin (سلام الله علیهم) ki mashiyat aur aeraadah wahi hai jo Khoda ki mashiyat aur aeraadah hai
Molaaheza farmaa'aen :
Imaam Hasan Askari (علیه السلام) se manqul hai :
... قُلُوبُنَا أَوْعِيَةٌ لِمَشِيئَةِ اللَّهِ فَإِذَا شَاءَ اللَّهُ شَيْئاً شِئْنَا وَ اللَّهُ يَقُولُ ما تَشاؤُنَ إِلَّا أَنْ يَشاءَ اللَّهُ ...
"... hamaare (14 Maasumin سلام الله علیهم ke) qolub mashiyate aelaahi ke zoruf hain, jab Khoda kuchh chaahe to ham bhi ous ko chaahte hain, Khoda farmaata hai : aur tum nahi chaahte jab tak Allaah na chaahe ..."
(Al-hedaayatul Kubra - page 359 - taalif Husain Bin Hamdaan Khasibi / Surah Insaan aayat 30 aur Surah Takwir aayat 29)
Amirul Momenin Ali (علیه السلام) ne farmaaya :
"... كُلُّنَا وَاحِد أوَّلُنَا مُحَمَّد وَ آخِرُنَا مُحَمَّد وَ أوسَطُنَا مُحَمَّد وَ كُلُّنَا مُحَمَّد، فَلا تفرقوا بَينَنا، وَ نَحنُ إذا شِئنَا شَاءَ اللَّهُ، وَ إذا كَرِهنَا كَرِهَ اللَّهُ ..."
" ... ham sab aek hain (ham me koei farq nahi) hamaara pahla Mohammad hai aur hamaara aakheri Mohammad hai aur hamaara darmeyaani bhi Mohammad hai aur ham sab Mohammad hain pas hamaare darmeyaan (apni taraf se) farq paiyda na karo aur jab ham (kuchh) chaahen to khoda bhi ous ko chaahta hai aur agar ham kisi chiz se karaahat karen (ous ko naa'pasand aur qabul na karen) to khoda bhi ous se karaahat karta hai (ous ko naa'pasand) aur qabul nahi karta hai) ...
(Behaarul Anwaar - jild 26 - page 6-7 - naashir mo'as'sasa Al-wafa)
14 Maasumin (صلوات الله و سلامه علیهم) ka maqaamo martaba aur manzelat wa ismat aiysi hai ke aap hazaraat ki marzi wa chaahat aur Khoda ki marzi wa chaahat aek hi hai
bela shub'ha 14 Maasumin (علیهم السلام) ki aham tarain shakhsiyat Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) hain
jis tarah aap ke farzand Imaam Husain (علیه السلام) ki chaahat khoda ki chaahat hai ousi tarah aap ke nana ki chaahat khoda ki chaahat hai, dono ki chaahat me koei farq nahi
mazkurah baala bayaan ke peshe nazar ye maan'na ke Khoda ne Rasule Akram (صلی الله علیه و آله) ko doa karne se baaz rahne ka hukm diya lekin Imaam Husain (علیه السلام) ki doa qabul kar li, ye aqlan, naqlan aur shar'an har tarah baatil wa ghalat hai
Aqlan is liae baatil wa ghalat hai ke Khoda, Rasule geraami (صلی الله علیه و آله) ko raahib ke liae aulaad ki doa karne se mana kare lekin Imaam Husain (علیه السلام) ous ko aek nahi balke 7 farzand ata kar den
Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) jis qadr mana karte the ousi qadr Imaam Husain (علیه السلام) har baar farzand ka aezaafa farma dete the
(ma'aazallah) Imaam Husain (علیه السلام) ko jaiyse koei zid ho gaei thi
aql ye baat aur qissa'ae raahib ki sehat ko taslim nahi karti
naqlan is liae ghalat hai ke motabar ketaabon aur maraaje wa masaadir me se kisi me bhi is ka zikr mujhe nahi mila
shar'an baatil hai keyon ke qissa'ae raahib me Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ko Imaam Husain (علیه السلام) se kamtar dekhaaya gaya hai
aap hazaraat ki haqiqat aek hai is aetebaar se aap ki sefaat Rasule Akram (صلی الله علیه و آله) ke baraabar bayaan ki jaa'aen, aap ko Rasule Akram (صلی الله علیه و آله) se badhaaya na jaa'ae
aiysa karna shar'an durust nahi hai
mokhtasar arz hai ke is me kisi shako shub'ha ki gunjaa'eish nahi hai ke Imaam Husain (علیه السلام) naa'oummidon ki oummid'gaah aur nure oummid hain aur khoda ke eizn se farzand ata kar sakte hain lekin ye qissa qaabile qabul nahi hai
Niche di gaei headline par click kar ke jawaab ko molaaheza farmaana mofid hai انشاءالله
- Welaayate takwini keya hai ? | kitne olama welaayate takwini ke qaa'ael hain? | keya Allaah ne duniya ka nezaam Ahlebait (a.s) ko supurd kar diya hai ?
- keya ambiya aur imaam (a.s ) murdon ko zinda karte the ? | kis ko zinda kiya ?
Farishte maasum hain phir Imaam Husain ke zariae Futrus ka qosur mo'aaf hone ki keya haqiqat hai ?
Tabserah :
sawaal ka rabt taqlid se nahi hai lehaaza marja ka naam likhna zaruri nahi hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
22 / zil'qaadah / 1444 H.Q
No comments:
Comment