Dudh pilaane waale jaanwar ki qurbaani ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, June 29, 2023

Dudh pilaane waale jaanwar ki qurbaani ka hukm

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : ......


سلام علیکم


Mera sawaal ye hai ke agar kisi ne ek bakri qurbaani ke liae kharidi lekin us bakri ka ek paidashuda 3 mahine ka bach'cha ho aur bakri ke maalik ne us bakri ko bach'che se juda kar ke bech diya ho.


to ab sawaal ye hai keya aisy bakri ko koi qurbaani ke liae kharid ke uski qurbaani kar sakta hai ?
jabke kharidne waale ko maalum hai ke is bakri ka 3 mahine ka dudh pita bach'cha hai


Keya ye us bakri ke bach'che wa uski maa (bakri) pe zulm nahi hai ?


Aap se guzaarish hai ke mera naam zaahir na kijiae ga


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


chhote bach'che aur dudh pilaane waale jaanwar ki qurbaani ya ous ko zabh karna jaa'aez hai


albatta filhaal ouse qurbaan ya zabh karna monaasib nahi hai keyun ke rewaayaat ke motaabiq jaanwar ke bach'che ko apni maa se juda karna naa pasandidah amal hai aur bach'che ke zaa'ae hone ka andesha hai


qurbaani ke mota'alliq mazid ahkaam wa jaankaari ke liae site ke "Menu" me "Qurbaani" ka shoba dekh len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


10 / zilhijjah / 1444 H.Q

roze eide qurbaan

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen