اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : beraadare mohtaram
Sallamun alaikum
Ayatollah sistani saab ka koi fatwa. Cyrpto bitcoin jo aaj kal online chal raha hai.
investment ke liye kya jayaz hai. Pls agar jawab ho sake to batae aur guzarish hai ki mera naam na disclose kare
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Aaj kal bitcoin ya digital ya cryptocurrency ki kharido farokht ke naam se internet par aur electronic market me jo kaaro baar chal raha hai
is mas'ale me Aayatullah Sistaani ne tawaq'quf kiya hai (yaani koei fatwa nahi diya hai) aur farmaaya hai is mas'ale me mokallaf (yaani jis par shar'ei ahkaam ki paabandi laazim ho) al aalam fal aalam ki re'aayat karte huae jaame'oush sharaa'aet dusre mujtahid ki taraf roju kar sakta hai
Niche di gaei video dekhna mofid hai aur mazid maalumaat wa " al Aalam fal Aalam " ka matlab samajhne ke liae niche di gaei headline par click kar ke jawaab zarur molaaheza farmaa len
- mujtahid baaz mas'ale me aehteyaate waajib keyon kahte hain | keya ous me dusre mujtahid se roju kar sakte hain ?
Forex trading ke zariae kharid-o-farokht ka hukm
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna- shoba-e-sawaalaat Qum / iran
27 / zilqaada / 1444 H.Q
No comments:
Comment