اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab Syed Kaunain Sb (Katokhar)
Masjid me ja rahe hain to sajda to le jaa sakte hain agar nahi to bina Sajdegah ke kar sakte hain sajda ?
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
apni sajde'gaah andarune masjid le jaa sakte hain lekin masjid ki sajde'gaah masjid se baahar (dusri jagah) le jaana jaa'aez nahi hai keyon ke masjid ki sajde'gaah omuman masjid ke liae hi waqf hoti hai yaani sirf masjid ke istemaal ke liae hoti hai
jin chizon par sajdah karna sahih hai sirf ous par kar sakte hain
tafsilaat niche di gaei video me hain, mokammal video dekh len
kin chizon par sajdah karna sahih hai ? || sunni ketaabon se isbaat || khaak-e-shefa
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
23 / shaw'waal / 1444 H.Q
No comments:
Comment