Nind aane ki doa aur aadaabe khaab | daraawne khaab se kaiyse bachen ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, May 3, 2023

Nind aane ki doa aur aadaabe khaab | daraawne khaab se kaiyse bachen ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtarama janaab Tahseen Faatema Sb


Salamo alaikum,
mujhe nind aane ki dua bataye, jis se jaldi nind aa jaye.


Regards,
tahseen...@gmail.com


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


be'khaabi ke zaa'ael wa ghaa'aeb hone aur nind ki ba'haali ke baare me 3 doaa'aen darj zail hain :


jis ko be khaabi (nind na aane) ki shekaayat ho wo sote waqt in doaa'on ko padhe inshaa'allah nind aane lage gi


  1. Amirul Momenin Ali se rewaayat hai ke Rasule Khoda ne apni beti Hazrat Faatemah Zahra (صلوات الله و سلامه عليهم) ko ye doa taalim di

  2. " يَا مُشْبِعَ الْبُطُونِ الْجَائِعَةِ وَ يَا كَاسِيَ الْجُسُومِ الْعَارِيَةِ وَ يَا مُسَكِّنَ الْعُرُوقِ الضَّارِبَةِ وَ يَا مُنَوِّمَ الْعُيُونِ السَّاهِرَةِ سَكِّنْ عُرُوقِيَ الضَّارِبَةَ وَ أْذَنْ لِعَيْنِي نَوْماً عَاجِلًا "


    "yaa mushbe'al botunil jaa'ae'ate wa yaa kaaseyal josumil aareyate wa yaa mosakkenal oruqiz zaarebate wa yaa monaw'wemal oyunis saaherate sakkin oruqeyaz zaarebata waa'zan le ayni nauman aajela"


    Tarjomah :


    "ay bhuke peton ko ser karne waale, ay be'lebaas jismon ko lebaas dene waale, ay phadakti ragon ko sokun bakhshne waale, ay jaagti (be'khaab) aankhon ko solaane waale, meri phadakti ragon ko sokun bakhsh aur meri aankh ko jald sone ki aejaazat de"


    (falaahus saa'ael wa najaahul masaa'ael fi amalil yaum wal'lail - page 284 - Taalif Syed Bin Taawus)


  3. ye doa bhi Rasule Akram (صلی الله علیه و آله) se manqul hai :

  4. " اللَّهُمَّ رَبَّ السَّمَاوَاتِ السَّبعِ وَ مَا أَظَلَّتْ وَ رَبَّ الْأَرَضِينَ السَّبعِ وَ مَا أَقَلَّتْ وَ رَبَّ الشَّيَاطِينِ وَ مَا أَضَلَّتْ كُنْ حِرْزِي مِنْ خَلْقِكَ جَمِيعاً أَنْ يَفْرُطَ عَلَيَّ أَحَدُهُمْ أَوْ أَنْ يَطْغىٰ عَزَّ جَارُكَ وَ لَا إِلَهَ غَيْرُكَ‌ "


    "allaahumma rabbas samaawaatis sab'ae wa maa azallat wa rabbal arazinas sab'ae wa maa aqallat wa rabbash shayaatine wa maa azallat kun hirzi min khalqeka jami'an an yafrota alaiy'ya ahadohum aou (اَو) an yatgha azza jaaroka wa laa aelaaha ghairok"


    Tarjomah :


    "ay Allaah! Parwardegaara saaton aasmaano'n ke aur har ous chizon ke jis par oun ka saaya hai, aur ay Rab saaton zaminon ke aur har ous chiz ke jise wo outhaa'ae huei hain, aur ay Parwardegaar shaitaanon ke aur har ous chiz ke jis ko ounhon ne gumraah kiya hai, meri panaah'gaah rahyo apni tamaam makhluq se, kahin oun me se koei mujh par zeyaadti wa zulm ya ta'addi kare, tera panaah diya huaa hi ghaalib hai, koei Khoda nahi hai sewa tere"


    (behaarul Anwaar - jild 76 - page 213)


  5. ye doa Imaam Saadiq (علیه السلام) se marwi hai :

  6. " سُبْحَانَ اللَّهِ ذِي الشَّأْنِ دَائِمِ السُّلْطَانِ عَظِيمِ الْبُرْهَانِ كُلَّ يَوْمٍ هُوَ فِي شَأْنٍ "


    "subhaanallahe zish shaane daa'aemis sultaane azimil burhaane kulla yaumin howa fi shaan"


    Tarjomah :


    "paako monazzah hai Khoda jo shaano shaukat ka maalik hai, jis ki hokumat wa saltanat daa'aemi hai, jo azim wa badi dalil hai, har roz (har lamha) aek shaan (amal) me hai (yaani har lamha wa har waqt aur hamesha wo kisi kaam me masruf hai, dunya ko ous ke haal par nahi chhoda hai, Khoda ous par nazaarat rakhta hai)"


    (mustadrakul wasaa'ael - jild 5 - page 126 - Taalif Mohaddis Nuri)


Baaz auqaat khawaatin ke liae be'khaabi aek fitri aur aarezi chiz hai jaiysa ke maahwaari aur haml ke dauraan nind ki kharaabi


aam haalaat me agar khaab ke aadaab ki re'aayat karen yaani sone se pahle oun par amal karen to nind me khalal padne ka imkaan bahot had tak kam ho jaa'ae ga


jo aadaabe khaab ko malhuz rakhe ous ko ach'chhi nind aati hai, jin ko bhayaanak wa daraawne khaab aate hain aur jo log khauf'naak khaab ka shekaar hote hain ous ki aham wajah khaab ke aadaab ki re'aayat na karna hai


nind na aane aur daraawne khaab se chhutkaara haasil karne aur oun se bachne ke liae ahaadees se maakhuz baaz aadaabe khaab ke sirf anaawin wa mauzu'aat ki fehrist molaaheza farmaa'aen :


  1. raat me khaana halka khaana
  2. khaane me aetedaal
  3. miswaak (brush) karna
  4. sone se pahle apne masaane ko khaali karna
  5. sone ke waqt ki re'aayat aur paabandi (sone ka behtarin wa mofid waqt raat hai)
  6. baa'wozu sona
  7. gunaahon se tauba karna
  8. surah "qul'howallaah" (tauhid), al-haakomut takaasur, aayatul kursi aur tasbihe Hazrat Faatema Zahra (سلام الله عليها) padhna

waazeh rahe ke nind na aane ke mokhtalif awaamil aur kaei wojuhaat ho sakti hain (masalan kharaab mood, jhagda ladaa'ei, ghabraahat, aeqtesaadi mushkelaat waghairah) oun par ghaur kar ke oun ke aezaala ki koshish karen


jo oupar bayaan kiya gaya hai ous ke motaabiq amal karne ke baad bhi nind na aa'ae to oun par amal karte huae aur shar'ei ahkaam ko malhuz rakhte huae kisi maahir doctor ya maahire nafseyaat ka aelaaj bhi karaa'aen


Note :


aadaabe khaab aur auqaate khaab waghairah ke mota'alliq ketaab "hilyatul mut'taqin" baab - 8 me fasl aek se das (1 to 10) tak dekh len


والسلام

Syed Shamshaad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


12 / shaw'waal / 1444 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen