اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab Tanvir Ali Sb / Delhi
Salam,
Aagha,kya namaz e zohrain zawal time ke dauran ya fauran baad padh saktey ?
Kya zawal start time pe bhi ada kar saktey ?
Ya zawal end time ke baad zohrain ki namaz ada kar sakte ?
Jazakallah.
Iltemaas e Dua.
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Zohr aur asr ki namaazon ke waqt ka aaghaaz (ibtedaaei waqt) zawaal-e-aaftaab hai lehaaza zawaal ke baad bit'tartib (namaaze zohr ke baad namaaze asr) padh sakte hain
zawaal-e-aaftaab se qabl nahi padh sakte hain
Zawaal se moraad :
Tolu'ae aaftaab aur ghorube aaftaab ke darmeyaan, kul waqt ka nisf waqt guzarna
yaani wasat-e-aasmaan se aaftaab ke hat jaane wa maghrib ki taraf dhal jaane ka waqt hai
ghadi ke waqt se zawaal ka waqt maalum karne ka aasaan tariqa niche di gaei headline par click kar ke molaaheza farma len aur di gaei video ka dekhna bhi mofid hai انشاءالله
- sunniyon ke nazdik asr ke waqt me aekhtelaaf | sunni aelaaqe me auqaate namaaz maalum karne ka tariqah
5 waqt namaazon ki timing | aek saath padhna sunnat-e-rasul (s.a.w)
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
14 / shaw'waal / 1444 H.Q
No comments:
Comment