اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtarama janaab Syeda Kubra Fatima Sb
Assalamu alaikum bhai ji
magfhrate waledain ki namaz kiya roz padh sakte
Jawaab :
باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
Mokhtasar jawaab :
ji, haan padh sakte hain
Qadre tafsili jawaab :
kuchh mustahab namaazen aiysi hain jin ko padhne ke liae koei mo'ay'yan din aur waqt wa taarikh nahi hai, jab chaahen wo namaazen padh sakte hain, ous ka apna ajr hai
albatta kuchh mustahab namaazen aiysi hain jin ko agar aek khaas din aur waqt par neez moqaddas maqaamaat jaiyse A'eimmah Maasumeen ya moqaddas hastiyon (عليهم السلام) ke haram ya masaajid waghairah me padhi jaa'aen to yaqinan ous ke asaraat aur sawaab dusre auqaat se zeyaadah hote hain
waaledain ke liae namaaz ke waqt ka mo'aamalah bhi aiysa hi hai
ye namaaz jahaan bhi aur jab bhi fursat wa mauqa mile padh sakte hain, kisi bhi waqt aur har roz ada ki jaa sakti hai
lekin mash'hur aur maaruf qaul ye hai ke waaledain ke liae namaaz padhne ka behtarin waqt maghrib aur aesha ki namaaz ke darmeyaan jum'ae ki raat (shabe jum'ah) hai
Mazid zaruri aur mofid maalumaat ke liae niche di gaei headline par click karen
- Doa ke pahle aur baad salawaat keyon ? | aulaad ki namaaz baraa'ae pedaro maadar | waqt | tariqa
- keya namaaze waaledain maa baap ke liae makhsus hai ?
- keya zindah waaledain ke liae namaaze hadiya baraae waaledin padh sakte hain ? | is ka faa'aeda
- Maahe zilqaadah me itwaar ke din namaaze tauba padhne ka tariqa | fazilat | faa'aedah
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
5 / zilqaadah / 1444 H.Q
No comments:
Comment