keya Imaam Hasan aur Imaam Husain (a.s) ke kaan chhede ga'ae aur baaliyaan latkaaei ga'ein ? | is waqt kaan chhedwaana aur baaliyaan pahenna kaiysa amal hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, May 31, 2023

keya Imaam Hasan aur Imaam Husain (a.s) ke kaan chhede ga'ae aur baaliyaan latkaaei ga'ein ? | is waqt kaan chhedwaana aur baaliyaan pahenna kaiysa amal hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtaram janaab Arsalan Askari sb. (Gujraat)


Kitaab al kaafi arabi jild no.6 safa no.23 kitaab al aqiqah baab no.21 baab hadees no.6 me aane waali riwaayat jisme zikr hai ke Maula Hasan (s.a) aur Maula Hussain (s.a) ki wilaadat ke mauke par RasoolUllah (saww) ne aap dono ko kaan me baaliyaan pehnayi thi iski kya taaveel hai ?


Aisi hi riwaayat manla yahzaruhul faqih arabi jild no.3 safa no.322 hadees No.4730 me aayi hai usme zikr hai ke RasoolUllah (saww) ne Sayyeda Faatima (s.a) ko hukm diya ke Maula Hasan (s.a) aur Maula Hussain (s.a) ke kaan chhidwaa de


aur aisi hi riwaayat al kaafi arabi jild no.6 safa no.23 kitaab al aqiqah baab no.23 baab hadees no.1 me hai ke Imaam Jaafar Saadiq (s.a) Farmaate hai ke ladke ke liye Khatna aur Kaan Chhidwaa de sunnat hai


Mera sawaal ye hai ke in ahaadees ki kya tafseer hai ?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


Aap ne jetne hawaale diae hain ous me mujhe mazkurah rewaayaten nahi mili albatta dusre maqaam par aur dusri hadees ki ketaabon me aiysi rewaayaten hain


jin ahaadees ki taraf aeshaarah kiya hai ous ki taaweel, taujih aur tafseer ke hawaale se arz kar dun ke kuchh ahkaam aiyse hain jo mo'aashare wa ourf ke taabe hain


Misaal :


baaz aelaaqe me ay'yaame aza alal khosus maahe moharram aur safar me laal kapde pahenna ourfe momeneen me intehaaei naa pasandidah fel hai keyon ke ye khushi ki alaamat aur azaadaari ki be hurmati samjha jaata hai
lekin baaz aelaaqon me aiysa nahi hai


is mo'aamale me aelaaqon ki haalat juda juda hai is liae hukm ki nau'eiyat me bhi yaksaani nahi hogi


jin aelaaqon me laal kapde pahenna khushi ki alaamat aur azaadaari ki be hurmati samjha jaata hai wahaan ay'yaame aza me laal kapde pahenna haraam hai aur jahaan aiysa nahi wahaan jaa'aez hai


mazkurah rewaayat ke ta'alluq se kaha jaa sakta hai ke nau zaaeidah bach'che ke kaan chhedwaana aur ous me suraakh kar ke baaliyaan latkaana Arab aur Rasule Akram (صلی الله علیه و آله) ke ahde mobaarak me mota'aaraf aur raa'aej tha, nau zaa'eidah bach'che ke kaanon me suraakh karne aur baaliyaan pahnaane me koei haraj nahi tha


lekin is waqt hamaare ourf me baaliyaan pahenna raa'aej nahi hai lehaaza jaa'aez nahi hai, khosusan sone ki baaliyaan pahenna haraam hai


dusri baat ye ke kaan chhedwaane aur baaliyaan pahenne ke hawaale se mazkurah rewaayaton ka ta'alluq ous zamaane se hai jab Imaam Hasan aur Imaam Husain (علیهم السلام) nau'zaad the


rewaayaat me ye nahi hai ke bade hone ke baad kaan chhedwaa'ae hon aur baaliyaan latkaaei hon


rewaayaat se sirf aetna maalum hota hai ke nau'zaad the tab kaan chhedwaa'ae ga'ae aur baaliyaan latkaaei gaein, bade hone ke baad is ka sobut nahi milta


lehaaza mazkurah rewaayaton se bade hone ke baad ladkon yaa mardon ke dono yaa aek kaan me suraakh karne aur baaliyaan latkaane ke jawaaz par istidlaal nahi kiya jaa sakta hai


tisri baat ye ke is waqt hamaare mo'aashare aur ourf me ladkon aur mardon ke liae kaan chhedwaana aur baaliyaan latkaana raa'aej nahi hai


Zibo zinat aur aaraa'eish wa zibaa'eish ke liae khawaatin aiysa karti hain aur ye pasandidah amal Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ke zamaane se le kar aaj tak jaari wa saari hai


kaan chhedwaana aur baaliyaan pahenna auraton ke liae makhsus hai lehaaza agar koei ladka yaa mard aiysa kare to auraton ke saath moshaabahat hai jo ke haraam hai is liae ke islaam ne auraton ke saath moshaabahat aekhteyaar karne se mana farmaaya hai


chauthi baat ye ke jahaan ladkon aur mardon ke kaan chhedwaana aur baaliyaan pahenna munharif firqon, gerohon aur ham'jins paraston ki alaamat ho to wahaan yaqinan haraam hai aur aiysa karna kabirah gunaah hai


waazeh rahe ke ladkon aur mardon ke kaan chhedwaane aur baaliyaan pahenne par lebaase shohrat ka hukm laagu wa jaari hoga


Lebaase shohrat ke mota'alliq maalumaat ke liae niche di gaei headline par click karen



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


10 / zil'qaadah / 1444 H.Q

Shabe welaadat baa sa'aadaat Imaam Reza (علیه السلام)

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen