اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
Imaam Saadiq (عليه السلام) ne apne sahaabi wa dost Am'maar Bin Musa Saabaati se ye puchha :
يَا عَمَّارُ اَنتَ رَبُّ مَالِِ كَثِيرِِ ؟
ay Am'maar tum kasir maal ke maalik ho ?
to Am'maar ne kaha ji haan
aap par jaan qurbaan ho jaa'ae
Imaam (عليه السلام) ne puchha :
فَتُؤَدِّىَ مَا اِفتَرَضَ اللهُ عَلَيكَ مِنَ الزَّكَاةِ ؟
zakaat me se tum par jo khoda ne waajib kiya hai ous ko adaa karte ho ?
kahaa ji haan
is ke baad Imaam (عليه السلام) ne sawaal kiya :
فَتَخرِجُ الحَقَّ المَعلُومَ مِن مَالِكَ ؟
apne maal me se maalum (moqarrar) haq nikaalte ho ?
(ye zakaat ke aelaawah hai aeshaarah hai surah ma'aarij ki aayat 24 ki taraf "aur jin ke maal me mo'ayyan haq hai" yaani apne maal ka aek hissa saa'ael aur mahrum ko dete ho ?)
kahaa ji haan
baat sirf yahin khatam nahi huei balke is ke baad bhi Imaam (عليه السلام) ne puchha :
فَتَصِلُ قَرَابَتَكَ ؟
apne qaraabat daaron ki maali madad karte ho (oun ke saath sela'ae rahim karte ho) ?
kahaa ji haan
phir sawaal kiya :
فَتَصِلُ اِخوَانَكَ ؟
apne (deeni) bhaa'ei ki madad karte ho (oun ke saath neki karte ho) ?
kahaa ji haan
pas Imaam Saadiq (عليه السلام) ne farmaaya :
يَا عَمَّارُ اِنَّ المَالَ يَفنَى وَالبَدَنَ يَبلَى وَ العَمَلَ يَبقَى
ay Am'maar maal fana wa naabud ho jaa'ae ga aur badan bosidah ho jaa'ae ga (lekin) amal baaqi rahe ga
وَالدَّيَّانَ حَى لَا يَمُوتُ
aamaal ki jaza dene waala (khoda) zinda hai (ous ke liae) maut nahi hai (lehaaza yaqinan jaza mile gi)
يَا عَمَّارُ اَمَا اِنَّهُ مَا قَدَّمتَ فَلَن يَسبِقَكَ
ay Am'maar aagaah ho jaao, jo kuchh bhi tum ne aage wa pahle bheja hai (jaiyse waqf ya dusre kaare khair) wo dusron ko nahi mile ga (yaani ous ka ach'cha badla wa sawaab zarur tumhen hi mile ga)
وَمَا اَخَّرتَ فَلَن يَلحَقَكَ
aur jo kuchh bhi (ba'waqte wafaat) tum ne chhoda hai wo tumhen nahi mile ga (sab dusron ke liae rahe ga)
(man laa yahzarohul faqih jild - 2 safha - 3 hadis - 5 abwaabuz zakaat baab ellato wojubiz zakaat / foru'ae kaafi jild - 3 safha - 501 hadis - 15 ketaabuz zakaat)
is hadis me mokhaatab Am'maar Saabaati hain lekin paiyghaam aam hai, sab ke liae hai
makhsusan is waqt jab corona virus ki wajah se sabhi parishaan hain maaldaaron ke liae Imaam (عليه السلام) ka ye nasihat aamoz irshaad hai
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat
25 / Shaw'waal / 1441 H.Q
◾Roze shahaadat Imaam Saadiq (عليه السلام)◾
transliterated by "Saiyed Mohammad Tabish" from urdu to roman urdu
No comments:
Comment