اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab Syed Ikram Ali Jafari Sb. (Haidarabad / India)
Salaam Alaikum
mera sawaal hai ke maine haath ki kalaayi pe tattoo banwaaya tha tattoo me maine Imaam Ali a.s ka naam likhwaya tha ab mai is tattoo ko mitwaana chaah raha doctor ise laser se mitaayenge to keya ye sahi hai ?
mitwaane me koi harj to nahi hai ?
q ke laser ise heat kar ke jalaayega to chunke maula ka naam likha hua to keya ise laser se jala ke hatwaana sahi hoga ?
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
godwaane (tattoo) ke baad kalaaei ya jism par Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ka waajebul aehteraam naam ho to be hurmati ka imkaan zeyaadah rahta hai masalan Hazrat Ali (صلوات الله و سلامه عليه) ke mobaarak naam ka tattoo naa paak ho jaa'ae ya tahaarat ke beghair ous par haath lage ... to ye sahih wa dorust nahi hai
lehaaza agar jism ke liae zeyaadah noqsaan'deh na ho aur ouse zaa'ael karna momkin ho to bazari'ah aelaaj ya laser, jism se ouse khatm karwaana behtar hai
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
27 / ramzaanul mobaarak / 1444 H.Q
No comments:
Comment