اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab Ghazi Hasan Sb (katokhar)
beghair paani ke agar peshaab kar lete hain to keya wahi kapda pehan ka namaaz padh sakte hain ?
aur sirf kapda badal kar ke namaaz padh sakte hain ?
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
agar najaasat (peshaab ya ous ki rotubat) kapde par lag gaei hai to ous (najaasat lage kapdon) ke saath namaaz nahi padh sakte hain
peshaab ke maqaam ko paak karna waajib hai
Note :
- agar paani maujud na ho to peshaab karne ke baad maqaame peshaab ko khushk kar len taa'ke najaasat kapdon aur badan ke dusre hisson par na lage, jab paani moyas'sar aa jaa'ae to peshaab ke makhraj ko paani se paak kar len
- agar kapde aur badan par peshaab lag kar sukh jaa'ae to ye tahaarat ka baa'aes nahi, lehaaza ouse paak karna zaruri hai
- peshaab ka maqaam sirf paani se paak hota hai lehaaza paani se paak karna shart hai
mauzu ke mota'alliq maalumaat ke liae niche di ga'ei surkhi (headline) par click karen
- Aabe qalil se peshaab ya paakhaana ke maqaam ko dhote huae padne waali chhinton ka hukm | dhone ka tariqa | tahaarat ke liae mitti ke dhele ya tissue paper waghairah ka istemaal
- Khade ho kar istinja karne aur juda hone waale paani ka hukm | baith kar peshaab karna sehat ke liae faa'aeda mand
- Istinja ka matlab | khade ho kar karne ka hukm | peshaab aur paa khaana karne ke baad paak karne ka tariqa | agar paani na ho to tahaarat ka hukm
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
2 / shaw'waal / 1444 H.Q
No comments:
Comment