اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab shahaab sb. / lucknow
Salam Alaikum Wrwb,
Janab yaha ASR aur Isha ki jamat waqte fazeelat per hoti nahi, to kya jamat ke saath fouran padh liya kare ?
ya waqt fazeelat intezar kar ke akele padhe ?
Please jawab zaroor dijiyega
filhal jab se aapka link dekha tha 5 Fazeelat ke waqt alag alag padhtey hai,
Shukriya
taqlid : Aali janab Sheestani sahib
Jawaab :
باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
aw'wale waqt me foraada (akele) namaaz padhne se afzal wa behtar ye hai ke jamaa'at ka intezaar karen aur jamaa'at se namaaz padhen lekin jamaa'at ka intezaar karna foraada namaaz se afzal ous surat me hai ke waqte fazilat ke andar padhi jaa'ae, agar jamaa'at ka intezaar karna waqte fazilat ke zaa'ae wa faut par muntahi ho to is surat me jamaa'at ke intezaar aur taakhir se namaaz padhne ki afzaliyat saabit nahi hai
Note :
- namaaze asr ka waqte fazilat, zawaale aaftaab ke taqriban 1 ghanta 30 minutes (dedh ghante) ke baad shuru hota hai
- aw'wale waqte fazilat wa waqte fazilat aam taur par bis (20) yaa is se zaa'aed minutes tak jaari rahta hai
- waqte fazilat ka matlab ye hai ke is ke waqt me namaaz padhne ka sawaab tamaam auqaat ke ba'nisbat kaei guna hai aur namaaz ki fazilat bahot zeyaadah hai
namaaze aesha ka waqte fazilat, waqte maghrib ke taqriban paintaalis (45) minutes baad hai
Jis link ki taraf aap ne aeshaara kiya hai ous se moraad shaayad niche di gaei video hai
5 waqt namaazon ki timing | aek saath padhna sunnat-e-rasul (s.a.w)
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
- namaaze maghrib wa aesha ke auqaat | dono namaazon ka aakheri waqt kaun sa hota hai ? | aadhi raat maalum karne ka tariqa
- sunniyon ke nazdik asr ke waqt me aekhtelaaf | sunni aelaaqe me auqaate namaaz maalum karne ka tariqah
- Shia | sunni olama ke nazdik kin auqaat me namaaz padhna makruh | mamnu hai ?
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran
23 / shaabaan / 1444 H.Q
No comments:
Comment