اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : khaahare geraami
Salam Alaikum Qibla,
Mera apse ek sawal kae office mein kya apne Sunni biradran kae saath haath bandh kar apni wajib furada namaz adaa ki ja sakti hae ?
Aya woh namaz sahi hae ya nahin.
Pls mera naam post ke saath share na karein.
Regards,
... | ...@gmail.com
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
- agar mard (khaah waajib yaa mustahab yaa foraada) namaaz padhne me mashghul ho to aurat mard ke saath baraabar me ya ous ke aage (khaah waajib yaa mustahab yaa foraada) namaaz nahi padh sakti hai
- namaaz chaahe waajib ho yaa mustahab yaa foraada, haath baandh kar padhna bid'at, haraam aur namaaz ke baatil hone ka sabab hai
- agar koei aiysi jagah rahta hai jahaan sab ghair shia hain to keya dusre musalmaan ke saath oun hi ki tarah namaaz padh sakta hai ?
mazid jaankaari ke liae niche diae ga'ae jawaab ko molaaheza farma len
mazid maalumaat ke liae niche diae ga'ae jawaab ko molaaheza kar len
Namaaz me haath baandhna bid'at ya sunnat ?
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
13 / shaabaan / 1444 H.Q
No comments:
Comment